Wednesday, December 29, 2010

Shers.In

Shers.In


Husn Ka Hukka

Posted: 29 Dec 2010 02:06 AM PST

Yun To Bujh Chuka Hai Tumhare Husn Ka Hukka,
Yun To Bujh Chuka Hai Tumhare Husn Ka Hukka,
.
.
.
.
Wo To Hum Hain Jo Gurguraye Ja Rahe Hain.

By Pramod


Ab To Ajaa Mere Bhole Qatil

Posted: 29 Dec 2010 01:50 AM PST

Ab To Ajaa Mere Bhole Qatil,
Tere Bin Jina Bhi Dushwaar Huwa,

Chen Milta Nahi Kahi Bhi Mujhe,
Baag – Baan Bhi Aaj Khaar Huwa,

Kya Mohabbat Esi Ko Kehte Hai,
Ek Pal Jina Bhi Dushwaar Huwa,

Chala Bhi Aye Tu Aaj Dil Ki Sadape Meri,
(Bibbo) Ka Marna Bhi Dushwar Huwa.

Written By Hameeda Ameer


Milti Hai Har Insan Ko Muhabbat Kabhi Kabhi

Posted: 28 Dec 2010 08:44 PM PST

Hoti Hai Khud Ki Hi Zaat Se Mujhe Washat Kabhi Kabhi!,
Bus Yunhi Badalti Rehti Hai Humari Tabiyat Kabhi Kabhi.

Tanhai Wo Zindan Ke Siwa Aur Diya Kiya Hai Yaar Ne Mujhe?!,
Par Agey Milla Karti The Mujhe Sanam Se Rahat Kabhi Kabhi.

Kabhi Judai Ke Bayis, To Kabhi Roswai Ke Bayis Se,
Dikhti Nahi The Mujhe Bhi Apne Yaar Ke Surat Kabhi Kabhi.

Darta Hoon Kiya Pata Ke Mehshar Main Hum Dono Ka Hisaab Na Ho!,
Gozarti Rehti Hai Isi Baat Se Mujh Pe Qayamat Kabhi Kabhi.

Aye Dost! Karliya Hai Usne Tarq-E-Taluq Humse Per,
Iske Bawajud Hoti Hai Meri Jaan Ko Meri Zarorat Kabhi Kabhi.

Ye Taqdeer Ki Baat Hai Aur Taqdeer Se Zyada Kisi Ko Kuch Milla Nahi,
“Haseeb” Milti Hai Har Insan Ko Muhabbat Ke Badle Main Muhabbat Kabhi Kabhi.

By Mirza Haseeb


Pyaase Tadapte Hain Paani Ke Liye

Posted: 28 Dec 2010 08:28 PM PST

Pyaase Tadapte Hain Paani Ke Liye,
Maut Tadapti Hai Jindagani Ke Liye,
Hume Tadap Ke Mila Hi Kya Aakhir,
Hum To Jiye Hi Ja Rahe Hain Jakhm Khane Ke Liye.

By Jyoti Singh


No comments:

Post a Comment