Tuesday, December 21, 2010

Shers.In

Shers.In


Ishq Karna Hai To Phir Ishq Ka Dastur Suno

Posted: 20 Dec 2010 09:49 PM PST

Ishq Karna Hai To Phir Ishq Ka Dastur Suno,
Sari Dunia Mein Kiya Naam – Wo Naam Suno,

Shiri-Faar Haad Ne Wo Kesi Wafayein Ki Thi,
Mar Gaye Ishq Mein Hanste Hanste Zaraa Yaad Karo,

Soni Mahiwaal Ne Kyaa Ishq Kiya Yaad Karo,
Pyaar Ke Naam Pe Jaan Gawai Ye Bhi To Suno,

Leylaa-Leylaa Karte Majnu Khaq Chani Sehra Mein,
Mar Gaye Wo Khushi Se Dono Yaad Unko Bhi Karo,

Pyaar Karna Asaan Hai- Nibhana Hi Bahut Mushkil Hai,
Pyaar Karo To Nibhana Tum Bhi Ye Baat Suno,

Sachchi Hogi Jaha Ulfaat Wo Karega Na Dagaa,
Chaho Jis Ko Umar Bhar Nibhana… Ye Baat Suno,

(Bibbo) Ne Pyaar Kiya Or Nibhaya Wadaa,
Pyaar Ke Wade Pe Jaan Gawai Ye Bhi Suno.

Written
By Hameeda Ameer


Bada Nazuk Hai Dosti Ka Rishta

Posted: 20 Dec 2010 09:20 PM PST

Baat-Baat Par Jo Log Ruth Jate Hai,
Hath Unse Anjaane Mein Chhut Jate Hai.
Bada Nazuk Hai Dosti Ka Rishta,
Isme Hanste-Hanste Bhi Dil Toot Jate Hai.

By Vikas Lamba


Gam Ka Saath Hi Mila

Posted: 20 Dec 2010 09:09 PM PST

Kabhi Sahil Na Mila, Kabhi Saajhi Na Mila,
Kabhi Raah Na Mili, Kabhi Raahi Na Mila,

Kabhi Manjil Na Mili, Kabhi Mukam Na Mila,
Kabhi Roshani Na Mili, Kabhi Ujala Na Mila,

Kabhi Saath Na Mila, Kabhi Saathi Na Mila,
Kabhi Pyar Na Mila, Kabhi Premi Na Mila,

Zindagi Mein Hardam, Gam Ka Saath Hi Mila,

By Madan Mohan Pandey


Sipiya Khul Gayi Tumhe Chhukar

Posted: 20 Dec 2010 09:07 PM PST

Sipiya Khul Gayi Tumhe Chhukar,
Dhup Shital Ho Gayi Tumhe Chhukar,
Tum Jo Aayi Raat Mein Bahar,
Chandni Jal Gayi Tumhe Chhukar.

By Dashrath Patidar


Hui Taskeen Jab Dard Se Phir Aasayishon Si Rahi Tabeeyat

Posted: 20 Dec 2010 09:03 PM PST

Hui Taskeen Jab Dard Se Phir Aasayishon Si Rahi Tabeeyat,
Seecha Ashkon Ne Aakhon Ko Aise, Paimayishon Si Rahi Tabeeyat,

Sareaam Chaand Bola Falak Se, Taaron Se Nahi Koi Shikayat,
Gooonje Alfaaz Is Dil Me Bhi, Numayishon Si Rahi Tabeeyat,

Na Jane Kaise Kaise Daur Leke, Abr Hain Guzre Meri Gali Se,
Kisi Bhi Mausam Na Ghar Se Nikle, Barishon Si Rahi Tabeeyat,

Har Zindagi Ka Falsafa Dekhiye Falsafon Ki Zindagaani,
Kahti Har Zeest Bus Yehi, Khwahishon Si Rahi Tabeeyat,

Deewaron Se Tiki Tanhaai Jab To Raushan Aur Charaag Hua,
Mahaka Alam Kuch Is Kadar Ki, Aarayishon Si Rahi Tabeeyat.

By
Vinay Mohan Baluni “Kaash”


Jannat Se Aai Ek Pari

Posted: 20 Dec 2010 08:59 PM PST

Jannat Se Aai Ek Pari Jinat Hai Iska Naam,
Karti Rahti Sabse Masti Subah Ho Ya Shaam,
Bahan Ho Wo Satati Hai Saheliyo Ko Chidhati Hai,
Kya Bhul Hui Hai Mujh Jo Mujhko Wo Tarpati Hai.

By Amir Khusroo


Hum Humesha Tumhare Hai Tumhare Rahenge

Posted: 20 Dec 2010 08:54 PM PST

Bichad Ke Chale Jayein Tumse Kahin  To Ye Na Samajhna Mohabat Nahin,
Jahan Bhi Rahenge Hum Tumhare Rahenge,

Zamana Agar Kuch Kahe Bhi To Kya Magar Tum Na Kehna,
Hume Bewafa Tumhare Liye Hu Tumhare Rahenge,

Ye Hoga Sitam Humne Pehle Na Jana, Bana Bhi Na Tha Jal Gaya Ashiana,
Kahan Ab Mohabat Ke Mare Rahenge,

Na Ye Chand Hoga Na Taare Rahenge,
Magar Hum Humesha Tumhare Hai Tumhare Rahenge.

By Karan Ahlawat


Ye Mamla Bhi Kaisa Ajib-O-Garib Hai

Posted: 16 Dec 2010 04:07 AM PST

Ye Mamla Bhi Kaisa Ajib-O-Garib Hai,
Tu Mujhse Dur Hoke Bhi Dilke Karib Hai,
Jinat Mitade Dilse Amiri Ki Khawahishen,
Jo Tujhko Chahta Hai Wo Ladka Garib Hai.

By Amir Khusroo


No comments:

Post a Comment