Wednesday, December 22, 2010

Shers.In

Shers.In


Labon Pe Mere Tere Hi Nam Ka Tarana Hai

Posted: 21 Dec 2010 09:27 PM PST

Dekho Na Ye Chandni Tumhen Yaad Karti Hai,
Chamkte Sitare Bhi Teri Raha Dekhte Hain,

Palkon Tale Tumhari Hi Tasver Ke Rang Chupe Hain,
Hawa Jab Bhi Lehlati Hai Tumhari Hi Khushboo Bekherti Hai,

Kajal Si Phehli Rat Mein Dil Teri Yaad Ke Deep Jalata Hai,
Meri Khamoshiyon Ki Sadaain Sun To Sahi Kabhi,

Be Chain Meri Dharknon Ki Ahat Ko Sun To Sahi Kabhi,
Labon Pe Mere Tere Hi Nam Ka Tarana Hai,

Beet Na Jaye Kahin Tere Intzar Mein Hi Ye Bahar Ka Mosam,
Laut Aao Ke Barson Se Dil Pe Mere Khizaon Ka Pehra Hai,

Behlta Nahi Hai Dil Mera Ab Tere Khyalon Se,
Ankhon Ko  Meri Tere Hi Didar Ki Piyas Hai,

Boht Be Chain Karta Hai Dil Ko Ye Suhana Mosam,
Khuli Hui Bahon Ko Meri Bas Tera Hi Intzar Hai.

By Azhar Raza Asi


Koi Yaad Bhi Usko Yaad Nahi

Posted: 21 Dec 2010 09:20 PM PST

Koi Yaad Bhi Usko Yaad Nahi,
Koi Baat Be Usko Yaad Nahi,

Ek Shaks Ne Usko Chaha Tha,
Wo Zaat Be Usko Yaad Nahi,

Jab Shab Ki Bejli Chamki The,
Jab Badal Toot Ke Barsa Tha,

Ham Done Jis Mein Bege The,
Wo Barsat Bhi Usko Yaad Nahi,

Wo Kehta Tha Main Sunta Tha,
Main Kehta Tha Wo Sunta Tha,

Un Lahkon Baaton Mein Koi Baat Bhi Usko Yaad Nahi,
Koi Baat Bhi Us Ko Yaad Nahi,
Koi Yaad Bhi Us Ko Yaad Nahi.

By Arslan


Waqt-E-Salam Yun Dekhte Hain

Posted: 21 Dec 2010 09:13 PM PST

Waqt-E-Salam Yun Dekhte Hain Idher Udher,
Garden Phasi Ho Jaise Khuda Ke Azaab Main,
Teri Namaz Ko Main Kaise Namaz Kahun,
Teri Namaz Ko Main Kaise Namaz Kahun,
Bade Salam Phir Gaya Qabay Se Muh Tera.

By Allama Iqbal


Wo Meri Hamsafar Ho Jaye

Posted: 21 Dec 2010 09:03 PM PST

Kash Meri Dua Mein Wo Asar Ho Jaye,
Ham Yaad Kare Unko Aur Unko Khabar Ho Jaye,
Bhulake Sare Gile Wo Sikwe,
Naye Saal Mein Phirse Wo Meri Hamsafar Ho Jaye.

By Amir Khusroo


No comments:

Post a Comment