Sunday, December 26, 2010

Shers.In

Shers.In


Dil Main Ek Lehar-E-Chahat Si Othi Hai Abhi

Posted: 26 Dec 2010 01:51 AM PST

Dil Main Ek Lehar-E-Chahat Si Othi Hai Abhi,
Lagta Hai Wo Gher Ki Dushman Ho Gayi Hai Abhi,

Barpa Hai Soor Yaar Ke Dil Ke Khane Main,
Lagta Hai Ke Meri Muhabbat Rang Larahi Hai Abhi,

Kahen Nahi Lagta Mera Dil Aye Sanam Tere Bina,
Aye Jaan! Mujhe Kisi Aur Ki Nahi Bas Teri Kami Hai Abhi,

Khamosh Na Karao Pao Ge Gar Main Bol Pardha,
Kyoun Kay Humsafar Meri Khamoshi Hai Abhi,

Agar Ho Waqt Mout Ka To Na Kar Tamanaa Zindagi Ki,
Ary! Mout Tujh Ko Har Jaga Dhondti Hai Abhi,

Mana Ke Meri Sari Khuwahish Wo Arzoo Hogayi Hai Tamam,
Magar Qismat Ko Badal Ne Wali Chabi Mujhe Milli Hai Abhi,

Mayosi Nahi Hai Mujhe Mana Ke Hoti Hai Kufar Mayosi,
Par Yaar Ke Diye Dard Wo Ghum Se Hey! Mujhe Be Dili Hai Abhi,

Acha Waqt Ab Hamara Kiya Aye Ga “Haseeb”,
Kyon Kay Hamari Zindagi Mazeed Nahi Rahi Hai Abhi.

By Mirza Haseeb


Hasti Apni

Posted: 26 Dec 2010 01:43 AM PST

Hasti Apni Khana Kharab Jesi Hai,
Hey! Ye Meey! Bhi Aab Jesi Hai.

Iss Ke Wajod Ki Khushbo Ki Kiya Tareef Karoon,
Iss Ke Jisam Ki Khushbu Gulaab Jesi Hai.

Jalta Hoon Roz Wo Shab Dhakti Aag Main,
Halat Meri Aftab Jesi Hai.

Zahir Ka Parda Hai Wo Parda Kahan Karti Hai “Haseeb”,
Mere Sanam Ki Pardadari Bhi Bulkul “Benaqab” Jesi Hai..

By Mirza Haseeb


Paas Mere Tu Pal Bhar Ke Liye Aaye

Posted: 26 Dec 2010 01:32 AM PST

Kash Ki Har Pal Har Waqt Ruk Jaye,
Paas Mere Tu Pal Bhar Ke Liye Aaye,
Ek Pal Main Bata Dunga Tujhe, Apne Dil Ka Haal,
Bhale Hi Phir Zindagi Hardam Ke Liye Ruk Jaye.

By Abhishek Bandiya


No comments:

Post a Comment