Tuesday, December 28, 2010

Shers.In

Shers.In


Bewafai Ab Teri Mujh Se Sahi Jaati Nahi

Posted: 27 Dec 2010 11:10 PM PST

Bewafai Ab Teri Mujh Se Sahi Jaati Nahi,
Mout Bhi Mangi Khuda Se Wo Bhi Ab Aati Nahi,

Dil Mein Mere Fans Si Bewafai Chubh Gayi,
Mein Nikalun Lakh Ess Ko Ye Nazar Aati Nahi,

Kya Karun Mein Kis Tarhan Se Dil Ko Behlaun Sanam,
Bewafai Ab Teri Mujhse Sahi Jati Nahi,

Kis Tarhan Se Mein Guzarun Zindgani Ye Bataa,
Ab To Jine Ki Koi Surat Nazar Aati Nahi,

(Bibbo) Kyun Karti Hai Etna Pyaar Tu Samjha Nahi,
Ab To Samjhane Ki Bhi Suat Nazar Aati Nahi.

Written By Hameeda Ameer


Kaagaj Ki Kashti Samundar Mein Chalai Nahi Jati

Posted: 27 Dec 2010 11:00 PM PST

Dil Mein Hai Jo Baat Woh Batai Nahi Jati,
Kaagaj Ki Kashti Samundar Mein Chalai Nahi Jati,
Agar Karoge Koshish Use Chalane Ki,
To Woh Kashti Lahro Se Bachai Nahi Jati.

By Gourav


Akhir Kiya Hai?

Posted: 27 Dec 2010 08:00 PM PST

Woh Mujhse Pochtey Hain Ke Ranj, Ghum Aur Jalan-E-Dil Kiya Hai,
Ye Ghuman, Ye Soch, Aur Ye Dimagh Ka Khalal Kiya Hai,

Jab Ke Nahin Koi Bhi Ibadat Ke Layaq Siwaye (Allah) Ke,
To Phir Ye Bhoot Shikan, Ye Bhagwan Aur Ye Malyoon ‘Firoon’ Kiya Hai,

Janat Aur Dozakh Akhir Kis Asman Pe Mojood Hain,
Ye Chand Ke Chamakne Aur Suraj Ke Jalney Ki Waja Kiya Hai,

Jab Khuda Ne Nabi(S.A.W.W) Ko Bananey Ka Socha Bhi Na Tha To Os Waqt Khuda Ke Sath Kon Tha,
Akhir Ye Pyar, Muhabbat, Wo Ishq Ki Dastan Kabsey Hai Aur Ye Kiya Hai,

Kyon Khatam Hojati Hai Insan Ko Kisi Bhi Seey Ki Ahmiyat Kisi Seey Ko Paney Ke Baad,
Ye Waqt Ki Bewafai, Ye Hashar Ka Din, Aur Ye Mout Ka Manzar Kiya Hai,

Jab Khuda Ke Pak Kalam Ko Log Dil Say Pardhtey Aur Samajhtey Nahin Aye Dost,
To Phir Mirza”Haseeb”Ullah Mughal Teri Ye Ghazal, Qasida Wo Kalam Akhir Kiya Hai.

By Mirza Haseeb


No comments:

Post a Comment