Friday, December 24, 2010

Shers.In

Shers.In


Pyaar Unse Kar Bethe Iss Qadar Doston

Posted: 24 Dec 2010 03:57 AM PST

Pyaar Unse Kar Bethe Iss Qadar Doston,
Bechainyaan Hain Ab Sham-O-Seher Doston.

Unki Hi Khushbu Hai Saanson Mein Abtak,
Itna Dilkash Chhod Gaye Woh Asar Doston.

Chaaro Taraf Chhaya Unka Hai Jaadu,
Ke Dekhun Jahaan Woh Aye Nazar Doston.

Zamana Gawaah Hai Meri Dillagi Ka,
Hai Khuda Bhi Iska Mazhar Doston.

Unke Bina Na Ye Saanse Chalengi,
Aur Na Hogi Ye Zindagi Basar Doston.

Woh Anjaan Nahi Ab Meri Chahaton Se,
Hai Unko Pata Sab Hai Unkho Khabar Doston.

By M. Hasan


Mujhe Mera Yaar Mille

Posted: 24 Dec 2010 03:49 AM PST

Main Jis Jaga Pe Jao Mujhe Mera Yaar Mille,
Aur Is Ka Sath Mujh Ko Hum Dono Ke Darmiyan Khadri Dewar Mille.

Wo To Awal Awal Ki Muhabbat Ka Maza Wo Nasha Tha,
Ke Hum Zindan Bhi Gaye Tu Hamen Wahan Roshnasiye Bazaar Mille.

Mizaj-E-Mosam Wo Misaj-E-Inshan Kesa Bhi Ho, Chahe Kuch Bhi Ho,!
Lakin Hum Ko To Apne Saman Ki Surat Ka Ek Deedar Mille.

Jab Bikne Ko Tha Tayeyar To Kisi Ne Bhi Na Kharida Mujhe,
Aur Aaj Jab Puri Tarah Ojard Gaye To Humko Soo Kharidar Mille.

Bethe Hain Hum Is Aas Main,Is Umeed Main,
Ke Ho Baho Mere Mehboob Jesa Mujhko Ghum Gissar Mille.

Aye Jan Gar Nhi Dekha Ha To Ne Kayi Dinon Se Awara Hawa Ka Jhonk,
To Gali Main Akey Dekh Kya Maloom Ke Tujh Ko”Haseeb” Bada Khuwar Mille.

By Mirza Haseeb


Aye Khuda Mere Gunahon Ka Hisaab Na Mang

Posted: 24 Dec 2010 01:29 AM PST

Agar Ho Madhoshi Ke Alam Main Tu Mazeed Sharab Na Mang,
Daman Hai Gar Kanton Se Channi Tu Phool-E-Gulab Na Mang.
“Haseeb” Ko Aur Bad Tareen Sazayen Na De Tujhe Tere Mehboob Ka Wasta,
Aye Khuda Tu Mujh Se Mere Gunahon Ka Hisaab Na Mang.

By Mirza Haseeb


No comments:

Post a Comment