Thursday, March 9, 2006

Tum

Tum milo na milo,na milne ka gham nahi,
tum paas se hi gujar jaao, milne se kum nahi.
maana ki tumhe hamaari kadr nahi,
magar unse puchho jinhe hum haasil nahi.

one more from Sahir Ludhianvi

"Pyaar Par Bas To Nahin Hai Lekin Phir Bhi
Tu Bata De Ki Main Tujhe Pyaar Karoon Ya Na Karoon"

Lyrics : Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya: Hum Dono

"Maein Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya

Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Maein Usko Bhulata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…

Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Maein Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…"

From: Sahir Ludhianvi

"Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai."