Friday, December 3, 2010

Deewana hu tera inkaar nahi,

Deewana hu tera inkaar nahi,
Kaise keh du ke pyar nahi,
Kuch shararat to teri nazaron main bhi thi,
Main akela hi gunaahgar nahi.

Laher aati hai kinaare se palat jaati hai,
Yaad aati hai aur dil mein simat jaati hai,
Laher aur yaad mein farq sirf itna hai ki,
Laher bewaqt aur yaad har waqt aati hai.

Hum se door jaoge kaise,
Dil se hame bhulaoge kaise,
Hum wo khusboo hai jo sanson mein baste hain,
Hhud ki sanson ko rok paoge kaise.

Itni asani se kaise bhul jata hai koi,
Reh-reh kar kyon yaad aata hai koi.
Umar bhar yaad karte rahenge aapko,
Dekhte hain kub tak hume bhulata hai koi.

Kaun kisko dil mein jagah deta hai,
Ped bhi sukhe patte gira deta hai.
Wakif hain hum duniya ke riwazon se,
Dil bhar jaye to har koi bhula deta hai

Ek pal ka saath aapka dil chhoo jata hai,
Jaane ke baad aapke yeh pal bohot yaad aata hai,
Dil na jane kyun samajh nahi pata hai,
Kaise koi ajnabi apna sa ban jata hai.

soye hai bekhabar se wo, neend hamaree lootkar
ki es husn par mit jane ko jee chahta hai…..
tujhe choone ke bad koi aur na choo payega mere daman ko
tujhe choo kar ye kasam khane ko jee chahata hai…….
chand chehra hai tera aur nazar hai bizlee
ki har ek ada par lut jane ko jee chahta hai …..
esake aage ka nazm rakhle ee dil kal ke liye
kal phir esi bazm mein aane ko jee chahta hai

Beetay pal wapas la nhi sakte,
Sukhe phool wapas khila nhi sakte,
Kabhi kabhi lagta h aap hame bhul gye,
par dil kehta h k aap hamein bhula nhi sakte

Thokar khate hain aur muskurate hain,
Is Dil ko sabr karna sikhate hain…
Hum to dard lekar bhi logon ko yaad karte hain,
Aur loog dard dekar bhi bhool jaate hain…

No comments:

Post a Comment