Dil Ka Shisha Posted: 14 Dec 2010 08:25 PM PST Dil Ka Shisha Todh Kar Tukde Hua Kurcha Hua, Phir Bhi Tu Nadan Kehta Hai Ki Bollo Kya Hua, Teri Ulfat Mein Duniya Ko Bhula Dala Magar, Tu Magar Duniya Me Uljha Keh Raha Hai Kya Hua, Meri Ye Khamosh Nazrein Deed Ki Pyasi Rahi, Chand Taron Ne Nzaron Ne Dekha Kya Hua, Raat Bhar Roti Rahi Mein Yaad Mein Teri Sanam, Subha Ko Tune Hi Puncha Aankh Mein Ye Kya Hua, Dil Lagi Meri To Ye Dil Ki Lagi Hi Bangai, Aap Ko Eska Nahi Ehsas To Phir Kya Hua, Jaan Jayegi Meri Sajan Tere Hi Pyaar Mein, Tu To Phir Bhi Ye Kahega Kya Hua Kese Hua. By Hameeda Ameer
|
Nakhre Aur Nazaquat Posted: 14 Dec 2010 08:15 PM PST नखरे और नज़ाकत है लडकियों का गहना.. गर चाहिए हमराही तो पड़ेगा ये सब सहना .. बड़ा लम्बा है सफ़र ज़िन्दगी का मेरे दोस्त .. इनकार किया इन्हें तो पड़ेगा GAY बनके रहना.. By Wali Farooqui
|
Pyaar Aur Dosti Mein Fark Posted: 14 Dec 2010 07:45 PM PST Ek Sawaali Ne Kahan Janab Ye To Samjha-Eeye, Pyaar Aur Dosti Mein Fark Hume Bhi Batla-Eeye, Dosti Mehfil Hai To Pyar Tanhai Hai, Dosti Sohrat Hai To Pyar Rushwai Hai, Dekar Jawab Main Zanibe Manjil Ko Chal Diya, Galat Hai Aap, Usne Ye Keh Diya, Log Pyaar Ki Karte Hai Ibadat, Pyar Hi Khushi Hai Dete Hai Nashihat, Pyar Zindagi Hai, Pyar Hi Shabaab Hai, Aapke Zanib Dosti Ka Isse Bhi Uncha Khitaab Hai, Dosti Ka Hai Martaba Uncha Ye Tu Maan Le Sawaali, Mumkin Nahi Pyaar Bin Dosti Ke Ye Tu Jaan Le Sawaali, Na Ho Yakee To Aazma Le Ek Bar Dosti Ko, Tajurbah Mera Taakeed Karega Har Baar Dosti Ko! By Wali Farooqui
|
Jee Chahta To Hai Posted: 14 Dec 2010 07:40 PM PST Kitni Shikayat Thi Tumhe “Jab Tum Logon Mein Ghiri Hui Hoti Ho, Lagta Hai Bahot Door Ho Mujhse Pahuch Nahi Paata Hun Tum Tak Jab Tumhare Charsoo Logon Ka Hujoom Dekhta Hun, Bikhrne Lagta Hun.” Hawa Ko Bhi Tumne Kabhi Hamare Beech Haaiil Nahin Hone Diya. Mujhe Kho Dene Ke Khyaal Se Bhi Ghbraa Jaate The Tum. Itne Kam Aarse Mein Kitna Kuch Badal Gya. Kuch Roz Pehle Saawan Ki Jhmajham Baarish Mein Hum Saath Saath Bheege The Phir Humne Chai Pi Thi, Dunya Bhar Ki Baatein Ki Thi. Phir Ekaek Tumne Mujhe Baahon Mein Bharkar Bheench Liya Tha Aur Tumhari Surkh Ankhon Se Nami Jhankne Lagi Thi. Aaj Tumhare Mere Darmiyaan Koi Bhi Nahi Hai, Sivaye Is Faasle Ke Jise Tumne Janam Diya Hai Wagarna Science Aur Technology Ke Is Daur Mein Kisi Se Rabta Karna Kya Mushkil Hai? Jee Chahta To Hai- Ki Main Hi Tumhe Aawaaz Doon Magar Haqiqat Ye Hai— Hamare Lehje Se Apnayiyat Ke Rang Ud Chuke Hain, Hamari Aawazon Mein Bhi Ab Woh Khanak Nahi Rahi, Dilon Mein Gulab To Khilte Hain Ab Bhi, Unme Lekin Pehli Si Mehak Nahin Rahi. By Shabnam Sultana`ada’
|
No comments:
Post a Comment