Showing posts with label urdu gazal. Show all posts
Showing posts with label urdu gazal. Show all posts

Friday, January 9, 2009

Urdu Gazal - Urdu Sad Gazal - Urdu Sad Shayari

Urdu Gazal - Urdu Sad Gazal - Urdu Sad Shayari



Mere ashq jitne nikalte rahe
Diye meri palko pe jalte rahe

Wo lamho ki kaisi mulakat thi
Ki taa jeesta arma machalte rahe

Wo shikve gile karke chup ho gaye
Magar karvaten hum badalte rahe

Kisi ne bujhane ki kosis na ki
Jo ghar jal rahe the wo jalte rahe

Nasheman hamara jala to jala
tumhare to arma nikalte rahe

'Shoeb' jalne walon ka kya tajkira
sada jalne wale to jalte rahe.

Sunday, December 7, 2008

Urdu Shayari - Urdu Gazal

Urdu Shayari - Urdu Gazal



Jo samajte hi nahi waqt ki kimat kya hai
Unko ehsas dilane ki jaroot kya hai

Tum hi batlawo sare raah ye chalte chalte
nazo andaaz dikhane ki ye aadat kya hai

Bech kar aapni ana puch rahe ho hamse
Sharm kya hai ye haya kya hai nadamat kya hai

Bhai bhai ka yahan ho gaya dushman kaise
koi batlaye to aakhir ye siyasat kya hai

Bakhuda koi nahi puchne wala dil se
Uske hathon me ye paigame masarrat kya hai.

Friday, August 8, 2008

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar......

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar......


Koi Dewar na dar rakhta hun
ghar ka ahsas magar rakhta hun

log rakhte hain charagon pe nazr
main hawaon pe nazar rakta hun

kyon na pathrou karen sab mujh par
sakh der sakh samr rakhta hun

ek nai simt janam leti hai
paon main apne jidhar rakhta hun

ye zamin cheez hai kya main Sabir
asmano ki khabr rakhta hun


--
Ayub Sabir

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar......

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar......


Koi Dewar na dar rakhta hun
ghar ka ahsas magar rakhta hun

log rakhte hain charagon pe nazr
main hawaon pe nazar rakta hun

kyon na pathrou karen sab mujh par
sakh der sakh samr rakhta hun

ek nai simt janam leti hai
paon main apne jidhar rakhta hun

ye zamin cheez hai kya main Sabir
asmano ki khabr rakhta hun


--
Ayub Sabir