Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts

Monday, March 9, 2009

Wo Poochti Hai

Wo Mujh se Mairy Udassioon ki Wajha pochti hai
Kitni Pagal hai Raat ke Sanatay ki Wajha pochti hai

Wo Mujh se Mairay Aansoon ki Wajha Pocthi hai
Kitni Pagal hai Barish ke barasnay ki Wajha pochti hai

Wo Mujh se Mairy Pasand pocthi hai
Kitni Pagal hai Khud apnay hi baray main pochti hai

Wo Mujh se Mairy Wafa ki intihaa pochti hai
Kitni Pagal hai Sahil per Khari Samandar ki Gehrai pochti hai

DURD KE PHOOL

Durd ke phool bhi khiltay hain bikher jaatay hain
Zakham kaisay bhi hon kuch roze main bhar jatay hain

Rasta roke khardi hai yeahi uljhan kab se
Koi pochay to kahien kiya ke kidher jatay hain

Zakham kaisay bhi hoon kuch roze main bhar jatay hain
Durd ke phool bhi khiltay hain bikhar jatay hain

Naram aawaz bhali baatien muhazab lehjay
Pehli baarish main hi yeah rung uter jatay hain

Durd ke phool bhi khiltay hain bikher jatay hain
Zakham kaisay bhi hon kuch roze main bhar jatay hain

Friday, February 13, 2009

Kisi se Baat karna, Bolna Accha nahi Lagta

Kisi se Baat kerna , Bolna acha nahi lagta
Tujhe Dekha hai jub se , Koi Doosra acha nahien lagta

Tairy ankhon main jub se main nien apna aks Dekha Hai
mairay chehray ko koi aiyna acha nahien lagta.....

Tairay Baray main Din Bhar sochti Rehti Hoon main lekin
Tere Baray main sab se Pochna acha nahien lagta

Yahan Muhabbat kerne walay Barbaad Rehte hain.....
yeah Derya Hai ise kacha Ghara acha nahien lagta

MAIN ab chahat ki us Manzil per an Punhcha Hoon,
Tairy Jaanib kisi ka Dekhna acha nahien lagta....

Kaise Rahoo Gay...???

Mujh Se Door Tum Ban Ker Ajnabi Kub Tuk Raho Gay
Mairay Bina Tum Is Bhari Duniya Main Kaisay Raho Gay

Bhool Jana Mujhe Maazi Ki Tarha Tumharay Bas Main Nahien
Yeah Nakam Koshish Akhir Tum Kub Tuk Kertay Raho Gay

Wabasta Hai Mairy Zaat Se Tumhara Aik Aik Pal
Apni Zindigi Ki Dhor Ko Tum Kub Tuk Jortay Raho Gay

Hum Ko To Tum Nien Thukra Dia ik Be Jaan Shay Samajh Ker
Apnay Dil Ke Sukoon Ko Tum Her Taraf Dhondtay Raho Gay

Ager Aaj Bhi Tum Wapis Aajao To Main Tumhara Muntazir Hoon
Apni Jhooti Anaa Ki Laaj Tum Kub Tuk Rakhay Raho Gay

Monday, February 9, 2009

Jo mairy talab mairy Aas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jo khayal thay na ke yas thay wohi log mujh se bicher gaye
Jo Muhabatoon ki asas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain manta hi nahi yeah Dil ' Wohi log mairay hain humsafer
Mujhay her tarha se jo raas thay' Wohi log mujh se bicher gaye

Mujhay lamha bhar ki Rafaktoon' Ke sarab aur sataien gaye
Mairy umer bhar ki jo Payas thay wohi log mujh se bicher gaye

Yeah khayal saray hain Aarzi' Yeah gulab hain saray kaghzee
Gul Aarzoo ki jo baas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain ker saka na kabool main ' wo shareek-e-safar howe
Jo mairy talab' mairy Aas thay wohi log mujh se bicher gaye

Mairy dharkanoon ke kareeb thay' Mairy Chah thay' Maira Khawab thay
Wo jo Roze-O-Shab mairay paas thay wohi log mujh se bicher gaye

Saturday, October 11, 2008

Mujhe Azmane Wale - Dard Bhari Ghazal - Sad Poem

Mujhe Azmane Wale - Dard Bhari Ghazal - Sad Poem

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye

Friday, February 22, 2008

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey - Sad Urdu Gazal

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey
Pathar Ho Muqabil To Thehar Kyun Nahin Jatey

Is Shehar Ke Jugnoon Bhi Chalavay Hain Nazar Ke
Phir Log Sar-E-Shaam Hi Ghar Kyun Nahin Jatey

Tum Nay To Giraya Hai Mujhay Apni Nazar Say
Tum Meri Nighaon Say Utar Kyun Nahin Jatey

Mar Mar Ke Jiye Jatey Hain Sadkon Ke Kinarey
Marna Hi Zaroori Hai To Mar Kyun Nahin Jatey

Mohsin Ko Hi Maatoob Kia Jata Hai Aksar
Ilzaam Kabhi Us Ke Bhi Sar Kyun Nahin Jata

Thursday, January 17, 2008

Zindagi Ka Fasana - Sad Poetry

khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa,
Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa,
Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein,
Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa,
Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,
Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa,
Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai,
Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa,
Khud apney hee haath say uss ko kaat diya,
Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa,