aks-e-khusbho hon bikharne se na rokey koi
aur bikhar jaon tu muj ku na samatey koi
kanp uthti hon mein ye sooch k tanhai mein
mere chehre pey tera naam na parh ley koi
jis tarah khuwab mere hogye reza reza
is tarah se na kabhei toot k bikhre koi
mein tu us din se harasan hon k jab hukum mile
khushk pholon ku kitaboon mein na rakhe koi
ab tu is rah se wo shaks guzarta bhi nahi
ab kis umeed pey darwaze se jhankey koi
koi ahat , koi awaz, koi chaap nahi
dil ki galian bari sunsaan hein ... aaye koi
No comments:
Post a Comment