Tere galey mein ju bahoon ku daal rakhte hein
tuje mananey ka kesa kamal rakhte hein
tujhe khabar hai tuje soochne ki khatir
buhat se kaam muqaddar per taal rakhte hein
koi bhi faisla hum sooch kar nahi karte
tmhare naam ka sikka uchal rakhte hien
tmhare bad ye adat se hogaye apni
bikhartey sokhey patte sambhal rakhte hien
khushi se milti hai khud ku izziatein de kar
soo jaan boojh kar dil ku nidhaal rakhte hein
kabhei kabhei wo muje hans kar deekh leta hai
kabhei kabhei mera bey had khayal rakhte hein
hamare hijer mein ye haal hogaya apna
kisi kakhar ho use bhi sambhal rakhte hein
khushi miley tu tere bad khush nahi hote
hum apni aankh mein her dam malal rakhte hein
zamaney bhar se bacha kar wo aanchal mein
mere wajood k tukrey sambhal rakhte hein
kch isliye bhi tu behaal hogaye hum log
tmhari yaad ka beh had khayal rakhte hein
No comments:
Post a Comment