Urdu Ghazal - Urdu Nazm - Urdu Dardbhari Ghazal
Phir Aaeena - E - aalam shayad ke nikhar jaye
Phir apni nazar shayad taa hadde nazar jaye
Sahra pe lage pahre aur kufl pade man par
Ab shahar badar hokar deewana kidhar jaye
Khake rahe jana par kuch khoo hai giro apna
Is fasl mein mumkin hai yeh karz utar jaye
Dekh aayein chalo hum bhi us bazm mein sunte hain
Jo khanda balab aae woh khak basar jaye
ya khauf se dar gujaren ya ja se gujar jayein
marna hai ki jeena hai ik bat thahar jaye
No comments:
Post a Comment