Suno!
Main thak gaya hoon
Mery Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
mery neendoon main tere wasal ka resham ulajhta hai
meray ansoo meray chehre pe teray gham ko likhtay hain
Meray ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Meray alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Magar main thakk gaya hoon
Aur main ne khamoshi ki goad main sir rakh dia hai
Main baloon main
Tumharay hijer ki naram ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendain nahin bunta
Mery aankhoon main jaisay THAR kay mausam ka basera hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay day
No comments:
Post a Comment