Tuesday, June 30, 2009

Ghazals of Bashir Badr

Kise Khabar thi Tujhe Is Tarah Sajaoonga
Zamaana Dekhega aur Main na Dekh paoonga

Hayaat-o-Maut,Firaaq-o-Wasaal sab yakja
Main ek Raat mein Kitne Diye Jalaoonga

Pala Barha Hoon abhi tak inhi Andheron mein
Main Tez Dhoop se kaise Nazar Milaaoonga

Mere Mizaaj ki yeh Mardana Fitrat hai
Sawere Sari Aziyat main Bhool Jaoonga

Tum ek Perd se baawasta ho magar main to
hawa ke Saath Bahut Door Door

Monday, June 29, 2009

Jab Sehar chup ho Hansa lo Hum ko

Jab Sehar chup ho Hansa lo Hum ko
Jab Andhera ho jala lo hum ko

hum Haqeeqat hain Nazar aate hain
Daastano mein Chupa lo hum ko

Din na Paa Jaye kahi Shab ka Raaz
Subah se pehle Utha lo Hum ko

Hum Zamaane ke Sataaye hain Bahut
Apne Seene se laga lo Hum ko

Waqt ke Honth hume Choo Lenge
Un kahe Bol Hain Gaa lo Hum ko

Sunday, June 28, 2009

Urdu SMS - Shayari SMS - SMS

Urdu SMS - Shayari SMS - SMS


ABCD ME zIDAGI

A
Aitebar

B
Bharosa

C
Chahat

D
Dosti

E
enayat


F
faisla

G
Gham

H
humdam

I
intezaar

J
Justaju

K
khayal

L
lamhey

M
mohabbat

N
narazgi

O
omeed

P
Piyar

Q
qisamt

R
rishtey

T
tamanna

U
udasiyan

V
virasat

W
wada

X
xcuse

Y
yaaden

Z
zindagi

Zindagi in hi naamo ka 1 naam hai
Yeh hai zidagi

Saturday, June 27, 2009

shayaris and ghazals of bashir badr

Patthar ke Jigar waalo Gham mein wo rawaani hai
Khud raah bana lega behta hua paani hai

Ik Zehan-e-Pareshaa'n mein Khaab-e-Ghazalistan hai
Patthar ki Hifaazat mein Sheeshe ki Jawani hai

Dil so jo Choote Baadal To Aankh mein Saawan hai
Thehra hua Dariya hai Behta hua paani hai

Aye Peer-e-Khiradmandaa'n Dil Ki bhi Zaroorat hai
Yeh Shehar-e-Ghazaalaa'n hai Yeh Mulk-e-Jawaani hai

gham

Friday, June 26, 2009

Har roz hume Milna Har Roz Bicharna hai - Bashir Badr

Har roz hume Milna Har Roz Bicharna hai
Main Raat ki Parchaayi, Tu Subah ka Taara hai

Aalam ka ye sab Nksha Bacchon ka Gharonda hai
Ik Zarre ke kabze mein Sahami hui Duniya hai

Humraah Chalo Mere ya Raah se Hat Jaao
Deewar ke Roke se Dariya Kahin Rukta hai??

Un ke hi Ishaaron par yeh Raat mili hum ko
Jin Chacnd se Chehron ka Saaya bhi Sunehra hai

sannate ki shakhon par kuch zakhmi parinde

Vo Khana hai ,

Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai..

Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai..

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain..

Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain..

Main palat k aaungi fir mera intezaar karna..

Mere baad zindagi ko tu na bekaraar karna..
Main palat k aaungi fir mera intezaar karna..

Kabhi dil me rahungi...kabhi ankhon me tere..
Tujhe aaun yaad jis dum,mere naam se pyaar karna..

Mujhe bhulne ki khatir..naa kisi aur se dil lagana..
Main na ji sakungi tujh bin wahan v,mera aitbaar karna..

Mere chaahaton pe koi jal na jaaye tujhse..
Mera zikr har kisi se tu na baar-baar karna....

Mere baad zindagi ko yun na bekaraar karna...
Main palat k aaungi fir mera intezaar karna.......!!