Romantic Shayari; Ye hai Urdu Shayari - Urdu Sher - Hindi Shayari - Hindi Sher - Funny Urdu shayari - Funny Urdu sher- Latest Urdu shayari - Love Urdu shayari - You can read all these here in Urdu shayari ki duniya.
Tuesday, July 27, 2010
Akhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha,
Mere Chahane Wale Patthar Kehte Hai Mujhe,
Mein To Mom Tha Tumne Mujhe Chho Kar Nahi Dekha.
Na Sangdil, Na Sitamger, Na Magroor Hoon Main
Her Bewafa Ladki Yahi Kahati Hai Ki Majboor Hoon Main.
Chhatrii Lagaa Ke Ghar Se Nikalne Lage Hain Ham
Chhatrii Lagaa Ke Ghar Se Nikalne Lage Hain Ham
Ab Kitnii Ehtiyaat Se Chalne Lage Hain Ham
Is Darje Hoshiyaar To Pahle Kabhii Na The
Ab Kyuun Qadam Qadam Pe Sambhalne Lage Hain Ham
Ho Jaate Hain Udaas Ke Jab Do-Pahar Ke Baad
Suuraj Pukaartaa Hai Ke Dhalne Lage Hain Ham
Aisaa Nahiin Ke Barf Kii Maanand Hon Magar
Lagtaa Hai Yuun Ke Jaise Pighalne Lage Hain Ham
Aaiinaa Dekhne Kii Zaruurat Na Thii Ko’ii
Khud Jaante The Ham Ke Badalne Lage Hain Ham
Is Kaa Yaqiin Aaj Bhalaa Kis Ko Aayegaa
Ek Dhiimii Dhiimii Aanch Men Jalne Lage Hain Ham
Khwaab Chhote The Nigaahon Me Palne Lage
Khwaab Chhote The Nigaahon Me Palne Lage,
Manzil Door Thi Fir Bhi Hum Chalne Lage..!!
Ehsaas Mere Dard Ka Unko Tab Jakar Hua,
Ashq Meri Aankhon Se Jab Baahar Nikalne Lage..!!
Wo Khaak Ho Gaye Kuchh Bhi Ban-Ne Se Pahle,
Dekh Kar Auron Ko Jo Bhi The Jalne Lage..!!
Toot-Ta Hai Aakhir Ek Din Aisa Dil Aksar Yahaan,
Kisi Ki Ik Muskaan Par Hi Jo Fisalne Lage..!!
Haath Dekar Use Bhi Utha Lena Tum,
Girkar Bhi Agar Koi Jo Sambhalne Lage..!!
Dard Bharkar Likh De, “Gopal” Tu Aisi Gazal,
Sunke Jise Patthar Ka Dil Bhi Pighalne Lage
Meri Zindgi Hi Mujhe Azaab Lage
Meri Zindgi Hi Mujhe Azaab Lage,
Aankh Me Ashkon Ka Sailaab Lage.
Tere Husn Ka Sani Duniya Me Nahi Koi,
Chehra Tera Mujhe Khilta Gulaab Lage.
Kya Zarurat Hai Tumhe Parde Ki,
Tere Gesu Hi Sanam Tera Naqaab Lage.
Kyon Toden Teri Kasmon Ko Mahkhane Jakar,
Jab In Aankhon Ke Ashq Hi Mujhe Sharab Lage.
Kya Khabar Teri Inyaten Hain Kitni Mujhpar,
Zakhmo Ko Ginu To Kuch Hisaab Lage.
Yoon To Kai Roop Saje The Rahon Me,
Dekha To Har Shakhs Me Janaab Lage
Nahi Tumse Mohhabat Hai
Nahi Tumse Mohhabat Hai
Chaho To Kasam Lelo
Mujhe Nahi Tumse Mohhabat Hai
Chaho To Kasam Lelo
Mohhabat Paak Hoti Hai
Nahi Isme Gila-Shikwa
Pur Mujhe Tumse Shikaayat He
Chaho Toh Kasam Lelo
Roz Khwaabon Mein Aati Ho
Meri Neende Churaati Ho
Fir Chain Aaye Mujhe Kaisey
Jub Tum Aanchal Lehraati Ho
Tumhe Kaisi Yeh Aadat He
Nahi Tumse Mohhabat He
Chaho Toh Kasm Lelo
Zamaane Ke Nashtar Ko
Main Hus-Hus Ke Sehta Hu
Sahaara Aagosh Ka Teri
Meri Banta Ub Taakat He
Nahi Tumse Mohhabat He
Chaho Toh Kasam Lelo
Tera Jalwa Tera Jaadu
Mere Sur Chadh Ke Bole He
Mere Geeton Ko Bus Tere
Adhron Ki Zarrorat He
Nahi Tumse Mohhabat He
Chaho Toh Kasam Lelo
Teri Aankhon Mein Jhanka To
Laga Ganga Ka Paani Hai
Teri Awaaz Kaano Mein Lage
Koi Meethi Kahaani Hai
Dil Jeet Kur Tmune Sanam
Kya Kar Di Ye Haalat Hai
Nahi Tumse Mohhabat Hai
Chaho Toh Kasam Lelo
Kyon Hairaan Hoti Tum
Meri Batoon Ko Sunkar Ke
Mohhabat Naam Kaise Du
Nahi Mujhme Himaakat Hai
Tumhe To Poojta Hu Mein
Tu Meri ‘ibaadat ‘ Hai
Nahi Tumse Mohhabat Hai
Chaho Toh Kasam Lelo!
K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai
Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta
Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama
Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai
Kyun Main Sochti Hoon Kai
Kyun Main Sochti Hoon Kai,
Aap Hi Mujhe Merey Ghar Sai Lai Jao…
Kyun Main Aap Ki Ek Ek Muskaan Pai Marti Hoon
Kyun Main Aap Sai Becharne Kai Khayal Sai Bhi Darti Hoon
Kyun Aap Sai Roothna Aur Aap Ko Manana Acha Lagta Hai
Kyun Aap Ko Aur Bhi Gharaiye Sai Jaan Ne Ko Dil Karta Hai
Kyun Aap Ki Har Khushi Ban Gayi Meri Khushi
Kyun Dil Chahta Hai Kai,
Kyun Aap Kai Liye
Din Raat Parehaan Rehti Hoon…
Kyun Dil Karta Hai Kai,
Jidhar Bhi Dekhoon Aap Hi Nazar Aao.
Kyun Aap Ka Pyaar Sai Dekhna
Banata Hai Mujhe Dewaana
Kyun Mujhe Lagta Hai Aap Hi Aap Ho Merey Sajana
Kyun Maine Aap Kai Saath Itne Sapne Dekh Liye
Kyun Aap Ki Pyari Baatein
Pyaar Sai Bhi Zyada Pyaari Lagti Hain
Kyun Aap Ki Koi Burai,
Mujhe Buri Nahi Lagti
Sunday, July 25, 2010
Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare
Kare to qayamat tak judaa na kare.
Ye maana ki koi marta nahi judaai mein,
Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!
Chahat mein kisi ka imitihan na lena
Jo nibha naa sako wo vada na dena,
jise tum bin jine ki aadat hi na ho,
Usse kabhi jine ki dua naa dena.
Is dil ka kaha maano ek kaam kar do
Ek be-naam si mohabbat mere naam kar do,
Meri par faqat itna ehsan kar do,
Kisi din subha ko milo aur shaam kar do.
who zindagi hi kyajis
ALVIDA NA KEHNA
Baat aisi ho ki jazbaat kam na ho
khayalat aise ho ki kabhi gam na ho...
Dil ke kone me itni c jagah rakhna ke
khaali khaali sa lage jab hum na ho...
meri har bat mein ho
tum mere har zazbat mein ho
tum mere sath mein ho
meri har yad mein ho
khuda kabhi tumhe udas na rakhe
kyonki tum meri har fariyad meho
pani se juda
Ye 'Machhliyaan' kyon tadap kar mar jati hai,
Na malum tha unko k nazdikiyan aadat aur
aadat aksar 'zindagi' ban jati hai.
gam humara dekhkar
jaise lot jati hai lehar kinara dekhkar
tum kandha na dena mere janaze ko
kahi phir jinda na ho jaye tera sahara dekh kar
Bismillah
Dil me rahe pyar ki Nishani bankar,
Hum jinhe jagah dete he Annkho main,
wo aksar nikal jate hain PANI bankar.