Wednesday, January 5, 2011

Shers.In

Shers.In


Sath Ham Dono Ka Ho Or Maddham Barish

Posted: 05 Jan 2011 04:15 AM PST

Sath Ham Dono Ka Ho Or Maddham Barish,
Dono Bhigein Or Pyaar Ki Halki Barish,

Na Koi Daar Ho Khuda Ka Na Zamane Ka Koi,
Pyaar Hi Pyaar Ho Or Ho Pagal Barish,

Tu Ho Banhon Mein Mere Teri Zulfein Ho Khuli,
Or Zulfon Se Ho Shabnami Halki Barish,

Na Rahun Hosh Mein Main Tu Bhi Na Hosh Mein Ho,
Dono Taa Umar Bhigein Wafa Ki Ho Aesi Barish,

Khuwab Ankhon Ne Ye Kesa Dekha (Bibbo),
Ankhein Kholi To Tanhai Hai Or Hai Barish,

Aaj Rukti Nahi Ankhon Ki Barsaat Sajan,
Aaja Pardesi Mere Pyaar Ki Ban Ke Barish.

Written By Hameeda Ameer


Yun Nahi Be Sabab Phira Main

Posted: 05 Jan 2011 04:14 AM PST

Yun Nahi Be Sabab Phira Main Awara Hawa Ka Jhonka Ho Jese,
Umeed Wo Chah Hai Shama Se Jalne Ki Meri Zaat Koi Parwana Ho Jese,

Hamarey Ab Koi Galley Bhi Nahi Milta Hath Milana To Door,
Aesey Daregh Jate Hain Mujh Se Log Meri Hasti Azab Ki Bad Dua Ho Jese,

Kyon Mord Ayen Gar Hum Sab Chahley Rah-E-Baqa Par,
Lekin Saf Nazar Aata Hai Ke Har Shaks Burai Ki Rah Pe Chal Pardha Ho Jese,

Apne Mehboob Ko Taraq Karney Ke Bawajod Is Ke Khayal Tang Kartey Hain Mujhe,
Yon Mehsoos Hota Hai Ke Yaar Mera Har Lamha, Har Pal, Wo Har Sans Yaad Karaha Ho Jese,

Asheqana Libas Main Na Aana Mere Agey Aye Haseen Parda Nasheen,
Tere Is Badkhu Mizaj Se Mujhe Aesa Lagta Hai Ke To Mujhe Hawas Ka Shikar Samajhta Ho Jese,

Is Ki Gali Se Gozarta Hoon, Jab Bhi Mujhe Hota Hai Ye Ghuman,
Ke Mera Mehboob Mujhe Bardi Garmi-E-Shooq Se Takta Ho Jese,

Mere Nadan Dil Ko Aaj Bhi Is Se Muhabbat Hai “Haseeb”,
Ayesa Lagta Hai Ke Mera Chand Sa Sanam Mujhse Ab Tak Pyaar Wo Muhabbat Karta Ho Jese.

By Mirza Haseeb


No comments:

Post a Comment