Sunday, January 2, 2011

Shers.In

Shers.In


Zindagi Ki Raah Mein

Posted: 01 Jan 2011 09:09 PM PST

Zindagi Ki Raah Mein Chale Gaye Sehte Gaye,
Gam Mila Khushiyan Mili Ham To Bas Hans Te Gaye,

Sej Phoolon Ki Thi Ham Hans Te Rahe Khil Te Rahe,
Par Chubhan Kanton Ki Bhi Hans -Hans Ke Ham Sehte Gaye,

Phool Murjhaye Hai  Khali Aaj Dekho Khaar Hai,
Zindagi Bhar Ham To Kanton Par Hi Bas Chalate Gaye,

(Bibbo) Phir Bhi Khush Hi Rehti Raaz Kya Hai Ye Bataa,
Gale Dono Ko Lagaaya Khushiyan Gam Hans Te Gaye.

Written By  Hameeda Ameer


Tere Na Hone Se

Posted: 01 Jan 2011 09:07 PM PST

Ki Tere Na Hone Se Aangna Mein Ik Sunapan Chaaya Hai,
Ki Baadal Barse, Ghataaye Barsi, Na Jaane Ye Kaisa Mausam Aaya Hai,

Ye Mausam, Ye Basant Ye Bahar, Sabko Bekaar Hi Paya Hai,
Ki Tere Na Hone Se Aangan Mein Ik Suna Pan Chaya Hai,

Doston Ka Saath Hona Fir Bhi Khud Ko Akela Hi Paaya Hai,
Karte Rahte Sabhi Se Teri Hi Baatein, Na Jaane Kaisa Ye Humpe Khumaar Chaya Hai,

Ki Tere Na Hone Se……
Masgool Hain Teri Yaadon Me Hi, Kahi Bhi Humne Karaar Na Paaya Hai,
Bekarar Hai Ye Dil Na Jaane Kyu. Fir Bhi Ye Ashko Ko Na Rok Paaya Hai ,

Ki Tere Na Hone Se Is Aangan Mein Ik Ajib Sunapan Chaaya Hai…
By Saurabh ‘Ek Lamha”


No comments:

Post a Comment