Sunday, December 7, 2008

Urdu Shayari - Urdu Gazal

Urdu Shayari - Urdu Gazal



Jo samajte hi nahi waqt ki kimat kya hai
Unko ehsas dilane ki jaroot kya hai

Tum hi batlawo sare raah ye chalte chalte
nazo andaaz dikhane ki ye aadat kya hai

Bech kar aapni ana puch rahe ho hamse
Sharm kya hai ye haya kya hai nadamat kya hai

Bhai bhai ka yahan ho gaya dushman kaise
koi batlaye to aakhir ye siyasat kya hai

Bakhuda koi nahi puchne wala dil se
Uske hathon me ye paigame masarrat kya hai.

No comments:

Post a Comment