Friday, December 5, 2008

Urdu Shayari - Tanhai Bhare Shayari

Urdu Shayari - Tanhai Bhare Shayari



Zindagi zhakmo se bhari thi,
waqt ko marham bana liya..

aankhon mein ashq bhare the,
hawaon ko aanchal humne bana liya..

apne bhi jab ajnabee bane,
tanhaaiyon ko dost bana liya..

jab nahi thi roshni mere aangan mein,
tab ratao ko ghar bana liya..

ek din haarna to hai hi maut ke haatho,
issliye filhaal har gam mein muskuraa ke,
dard ko haraana seekh liya..

No comments:

Post a Comment