Thursday, August 6, 2009

Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan

Mere Sabr Ka Na Le Imtihaan
Meri Khamoshi Ko Sada Na De
Jo Tere Bagair Na Ji Sake
Use Jeene Ki Tu Duaa Na De

Tu Azeez Dil-o-nazar Ke Hai
Tu Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mere Jism-o-jaan Ka Ye Faasla
Kaheen Waqt Aur Badha Na De

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon
Tujhe Chah Ke Bhi Na Pa Sakoon
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar
Meri Chahatoon Ka Sila Na De

Wo Tadap Jo Shola-e-jaan Mein Thi
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi
Jo Bujha Sake To Bujha ise
Na Bujha Sake To Hawa Na De

Tujhe gar Milein Kabhi Fursatein
Meri Shaam Phir Se Sanwaar De
Jo Qatal Karna Hai To Qatal Kar
Yoon Judaiyon Ki Sazaa Na De

No comments:

Post a Comment