Saturday, June 28, 2008

KAISE KARUN...?

sukuun-e-jaaN ke liye ab maiN duaa kaise karuN
dard jab tuune diya hai to gilaa kaise karuN

aksar lauTaa huun manzil se yahi soch ke maiN
ab muqammal ye safar tere binaa kaise karuN

mere she’roN mein yeh asar kahaaN tha pehle
karz maiN teri jafaaon ka adaa kaise karuN

zindagi bhar ki wafaaoN ka silaa hai yaaro
dil-e-barbaad ke zaKhmoN ki davaa kaise karuN

thi koi mere hi haaThon ki lakeeroN meiN kamii
apni taqdeer ka ab tujhse gilaa kaise karuN

meri nas-nas meiN basaa hai jo lahuu ban ke Dost
uski yaadoN se kinaara maiN bhalaa kaise karuN

ab munaasib hai yahi usko bhulaa duuN “Anil”
haaN , magar phuul ko khushbuu se judaa kaise karuN

No comments:

Post a Comment