Thursday, March 31, 2011

Phir Huee Aankh Num Phir Dil Udaas Hain

Phir Huee Aankh Num Phir Dil Udaas Hain
Shayed Keh Khushi Khatam Huee Ghum Ka Aghaz Hain

Ab Wo Doston Ka Hajum Wo Kehkaha
Huway Sub Khatam Ab Tanhaie Ka Saath Hain

Jala Is Kadar Dil Keh Mat Pucho
Pehlay Ghum Nayab Thaa Ab Khushi Nayab Hain

Khud Ki Halat Kay Bhanwar Main Chod Nahin Sakta
Khalid Kiya Karun Keh Khud-Kushi Haram Hain

Mere Zakhmon Pe Tum Marham Lagaoge Agar Yaaron

Mere Zakhmon Pe Tum Marham Lagaoge Agar Yaaron
Zara Asaan Guzrega Mohabbat Ka Safar Yaaron

Yahaan Kis Ko Kisi Se Kab Ho Jaaye Kuch Pata Na Chale
Mohabbat Ke Liye Hoti Hai Kaafi Ik Nazar Yaaron

Nazar Se Dur Hain To Kya, Mere Woh Dil Mein Rahate Hain
Bahut Gahra Utar Jaaye Mohabbat Ka Asar Yaaron

Pata Chal Jayega Unki Mohabbat Ka Bhee Nazaron Se
Mohabbat Ke Isharon Ko Samajhte Ho Agar Yaaron

Mohabbat Ke Safar Mein To Nami Rahti Hai Ankhon Mein
Jawaani Mein Tha Mein Bhee Is Khabar Se Be-Khabar Yaaron

Dard Bhari Shayaris

Vaade bhi dost ne kya khoob nibhaye hein,
zakham muft aur dard tohfe mein bhijvaaye hein,
is se badkar wafadaari ki misaal kya hogi,
maut se pehle hi mere dost KAFAN le aayen hein..
`
Jis din se juda vo humse hue,
is dil ne dharkna chor diya,
hai chaand ka mooh bhi utra utra,
taaro ne chamkna chor diya..
`
vo yaad aaye bhulate bhulate,
dil ke zakhm ubhar aaye chupate chupate,
sikha tha jise dekh ke muskurana,
usi ne aaj rulaya hasate hasate..
`
Aankhon me tere ashk utaar lenge.
Khushi tujhe dekar gham udhar lenge.
Tere Jane ke bad aaigi teri yaad.
Tere khayalo me hi waqt guzar lenge..
`
Khuli aankhon se sari umar dekha
Ek aisa khowab jo apna nahin tha
aaj tak woh shahks dil mein haiiiii
Ke jo us waqt bhi mera nahin tha..

Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai!

Jaane ye kaun sa mausam hai
Na sardiyon ki dhoop hai
Na din yahan par kam hai
Na thand ka koi bhi roop hai

Na mitti ki khushbu hai
Na bheege yauvan mein hulchul
Na baadalon mein guftagu hai
Na chai pakodi ka hi koi pal

Dhoop bhi chilchilaati nahi
Na chaandni ka koi aalam
Na jharnon ki aarzoo kahin
Na ye chhuttiyon ka mausam

Sarson bhi nahi dikhte hain
Patang asma me ab tak na naacha hai
Naye patte bhi kahin na ugte hain
Na muskaraata koi bhi raasta hai

Jaane ye kaun sa mausam hai
Tum paas hokar bhi itne door ho
Har baat shuru hone se pehle khatm hai
Kaam ho na ho, masroof ho…