Friday, July 31, 2009

Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad

Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad

Yeh raasta agar lamba hai tou kia hai
Yeh waqt agar guzar jaaye tou kia hai
Iss sooraj ko tou dhalna hai kabhie
Yeh aaj hi dhal jaaye tou kia hai
Iss tadapti dhoop ki pukar suni
Yeh tez leher mein gharoob ho jaaye tou kia hai
Yeh raasta baraf ki tarah hai thanda
Iss par paer phisil jaaye tou kia hai
Ehsaas dard ko ab hota hai nahin
Dil ko koi kuchal jaaye tou kia hai.
- By: Sarah Ahmad.

Agar app bhi issi tarah apni koi tehreer iss blog par chahtain hain tu hamain likhin, aur doston ko bhi batain:

Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad

Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad

Yeh raasta agar lamba hai tou kia hai
Yeh waqt agar guzar jaaye tou kia hai
Iss sooraj ko tou dhalna hai kabhie
Yeh aaj hi dhal jaaye tou kia hai
Iss tadapti dhoop ki pukar suni
Yeh tez leher mein gharoob ho jaaye tou kia hai
Yeh raasta baraf ki tarah hai thanda
Iss par paer phisil jaaye tou kia hai
Ehsaas dard ko ab hota hai nahin
Dil ko koi kuchal jaaye tou kia hai.
- By: Sarah Ahmad.

Agar app bhi issi tarah apni koi tehreer iss blog par chahtain hain tu hamain likhin, aur doston ko bhi batain:

Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad

Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad

Yeh raasta agar lamba hai tou kia hai
Yeh waqt agar guzar jaaye tou kia hai
Iss sooraj ko tou dhalna hai kabhie
Yeh aaj hi dhal jaaye tou kia hai
Iss tadapti dhoop ki pukar suni
Yeh tez leher mein gharoob ho jaaye tou kia hai
Yeh raasta baraf ki tarah hai thanda
Iss par paer phisil jaaye tou kia hai
Ehsaas dard ko ab hota hai nahin
Dil ko koi kuchal jaaye tou kia hai.
- By: Sarah Ahmad.

Agar app bhi issi tarah apni koi tehreer iss blog par chahtain hain tu hamain likhin, aur doston ko bhi batain:

Shayari in Love - Online Shayaris

Aakhon mein ban ke rahogi jaise kajal
Dil ko aap yaad aate ho ab toh har pal
Chahe chha jaye kitne bhi gum ke badal
Ye dil toh humesha rahega aap hi ka kayal

Na jaanu kaise bandh gayi hai aapse dil ki dor
Na janu ab kyu chalta nahi dil pe kisi ka zor
Ab toh gali gali pe hai apne pyar ka shor
Jasie khushi se jhoom ke naache van mein mor

Hontho mein ban ke rahoge jaise muskaan
Saanso mein humesha rahega aap hi ka armaan
Dil aapki khushi ke liye har pal karega aazan
Aur aapki khwaish puri ho chahe sab kuch ho kurbaan

Love Shayaris Online

Raat bhar woh mere sapno mein aaye
Din bhar bhi woh mujhe bahut tadpaye
Ye kaisi hai doori ki sahi na jaye
Shayad yehi rista hai jo pyar kehlaye


PYAR KA PEHLA
ISHQ KA DOOSRA
AUR MOHABBAT KA TEESRA LAFZ
ADHOORA HOTA HAI
ISLIYE HUM TUMHE CHAAHTE HAI
KYUNKI CHAAHAT ME HAR EK LAFZ POORA HOTA HAI

Dil ko kabhi aazma ke toh dekho
Ek bar apne dil se laga ke toh dekho
Dil toh layega aapke liye chand aur taare
Ek bar raho pe palke bicha ke toh dekho

Thursday, July 30, 2009

Tamanna leke ulfat ki - Love Shayari

Tamanna leke ulfat ki, mere aangan mein wo aya
mohabbat rog hai dil ka, use ye maine samjhaya
Kaha usne mohabbat kar, shareeke gham bana mujhko
karronga main zamaane ki, khushi se aashna tujhko
Hua majboor main yaaron, kia iqraar ulfat ka
laga di jaan ki baazi, samajh kar khel qismat ka
Hui maloom phir usko, haqeeqat ye zamaane se
use taskeen milti hai, kisika dil dukhaane se

Thursday, July 23, 2009

Rahat Indori Wafa ko aazmana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha

Wafa ko aazmana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha

Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha
Meri aankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha

Jaha par panhuchna main chahta hoon waha pe panhuch jana chahiye tha
Humara zakhm purana bahut hai charagar bhi purana chahiye tha

Mujhse pahle wo kisi aur ki

Wednesday, July 22, 2009

kaise hua !


Khatam apni chahton ka silsila kaise hua !
Tu to mujh mein jazab tha mujh se juda kaise hua !!
Wo jo sirf tere aur mere darmiyan ek baat thi !
Aao sochein shehar us se aashna kaise hua !!
Chubh gayin seeney mein tooti khawahishon ki kirchiyan !
Kya likhun dil tootney ka haadsa kasie hua !!
Jo rang-e-jaan tha kabhi milta hai ab rukh phair kar !
Sochta hoon iss qadar wo bewafa kaise hua… !!

!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Aye Mohabbat tere anjam se rona aaya.
Jane kyun aaj tere naam se rona aya,

Yu to her sham umid me guzar jati hain.
Aaj kuch baatein yaad aayi to sham pe rona aya.

Kabhi taqdir, kabhi matam,kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq k har kaam pe rona aya.

Jab hua zamane me mohabat ka zikr.
Mujhe apne dil-e-nakaam pe rona aya…

FARQ SIRF ITNA SA THA

FARQ SIRF ITNA SA THA,

Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse,
Phool mujh par bhi barse,


FARQ SIRF ITNA SA THA,

Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya ,
Tu bhi ghar ko chali,
Main bi ghar ko chala,


FARQ SIRF ITNA SA THA,


Tu uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya ,
Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,


FARQ SIRF ITNA SA THA,

Unka hasna wahan,
Inka rona yahan,
Qazi udhar bhi tha, Molvi idhar bhi tha,

Do bol tere pade, Do bol mere pade,
Tera nikah pada, Mera janaaza pada,

FARQ SIRF ITNA SA THA,


Tujhe apnaya gaya ,
Mujhe dafnaya gaya

Tuesday, July 21, 2009

Har ek aawaaz urdu ko fariyadi batati hai Munawwar rana

Har ek aawaaz urdu ko fariyadi batati hai by munawwar rana

Har ek aawaaz urdu ko fariyadi batati hai,
ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzaadi batati hai

kayi baate mohabbat sabko buniyadi batati hai,
jo pardaadi batati thi wahi daadi batati hai

jahan pichhle kayi barson se kaale naag rehte hain
wahan ek ghosla chidhiyon ka tha daadi batati hai

abhi tak ye ilaaka hai rawadaari ke kabze mein

Monday, July 20, 2009

Dushyant kumar poems hindi kavita

Ek gudiya ki kai kathaputliyon mein jaan hai
aaj shayar ye tamasha dekh kar hairaan hai

khaas sadaken band hain tab se marammat ke liye
ye humare waqt ki sabse badi pahchaan hai

ek budha aadami hai mulk mein ya youn kaho
is andheri kothari mein ek roshandaan hai

maslahat aameez hote hain siyaasat ke kadam
tu na samajhega siyaasat tu abhi insaan hai

is kadar pabandi-e-mazahab ki sadaken aapki

Sunday, July 19, 2009

Besan ki sondhi roti par Khatti chatni jaisi maa Nida Fazli

Besan ki sondhi roti par Khatti chatni jaisi maa
Yaad aati hai chauka baasan Chimta phoonkni jaisi maa

Baans ki khurri khat ke oopar Har aahat par kaan dhare
Aadhi soi aadhi jaagi Thaki dopahari jaisi maa

Chidiyon ke chahkar mein gunje Raadha mohan ali ali
Murge ki aawaz se khulti Ghar ki kundi jaisi maa

Biwi, beti, behan, padosan Thodi thodi si sab mein
Din bhar ik rassi ke oopar Chalti natni

Thursday, July 16, 2009

Pushp ki Abhilasha Chaah Nahi Main SurBala Ke Gehano Mein

Pushp ki abhilasha by Makhanlal Chaturvedi

Chah Nahi Main SurBala Ke Gehano Mein Goontha Jaaun
Chaah Nahi Premi Mala Mein Bindh Pyaari Ko Lalchaaun

Chaah Nahi Samraato Ke Shav Par He Hari Dala Jaaun
Chaah Nahi Dewon Ke Sar Par Chadhoon Bhagya Par Itraun

Mujhe Tod Lena Banmali, Us Path Par Tum Dena Phaink
Matra Bhoomi Per Sheesh Chadhane,Jis Path Jaayen Veer Anek


चाह नहीं मैं सुरबाला के गहनों

ho gayi hai peer parvat si pighalni chaahiye Dushyant kumar

Ho gayi hai peer parvat si pighalni chaahiye
Is Himalay se koi Ganga nikalni chaahiye

Aaj ye deewaar pardo ki tarah hilne lagi
Shart lekin thi ke ye buniyaad hilni chaahiye

Har sadak par har gali mein har nagar har gaanv mein
Haath lahraate huye har laash chalni chaahiye

Sirf hungaama khada karna mera maksad nahi
Saari koshish hai ke ye soorat badalni chaahiye

Mere seene mein nahi to tere

Wednesday, July 15, 2009

Nida Fazli Ghazals Tera hijr mera nasib hai

Tera Hijr Mera Naseeb Hai Tera Gham Hi Meri Hayaat Hai
Mujhe teri doori ka Gham ho kyon tu kahi bhi ho mere saath hai

mere vaaste tere naam par koi harf aaye nahi nahi
mujhe Khauf-e-duniya nahi magar mere rubaru teri zaat hai

tera vasl aye meri dilruba nahi meri kismat to kya hua
meri mahajabeen yahi kam hai kya teri hasraton ka to saath hai

tera ishq mujh pe hai meharabaan mere dil ko haasil

Monday, July 13, 2009

Nida fazli shayari ghazals and shers inspirational shayaris

mohabbat mein wafadari se bachiye
jahan tak ho adakari se bachiye

her ek soorat bhali lagti hai kuch din
lahoo ki shobda-kaari se bachiye

sharafat aadmiyat dard mandi
bade shehron mein beemaari se bachiye

zaroori kya har ek mehfil mein aana
takalluf ki rawadaari se bachiye

bina pairon ke sar chalte nahi hain
buzurgon ki samajhdaari se bachiye

Friday, July 10, 2009

Koi Jata hai yahan se na koi aata hai Bashir Badr

Koi Jata hai yahan se na koi aata hai
Ye Diya apne andhere mein ghuta jata hai

sab samajhte hain wahi raat ki kismat hoga
Jo sitaara ke Bulandi pe nazar aata hai

main isi Khoj mein barhta hi chala jata hoon
kis Ka aanchal hai ke jo lehraata hai

Meri Aankhon mein hai ek Abr ka tukra shayad
koi mausam ho sar-e-Shaam baras jata hai

de tasalli koi to Aankh chalak uthti hai
koi Samjhaaye to Dil

Wednesday, July 8, 2009

Page view post views hit counter for blogspot bloggers

Page views post view or post views hit counter to count how many times any post or article on blogspot blog has been read.

Several times bloggers like to count how many times any post or articles on blog has been read.

But blogger doesn't provide any way for counting page views or any post hit counter widget

I've written a hit counter script for blogspot bloggers to count page / post views or

Motivational shayaris-Is Zakhmi Pyaase ko Is tarah pila dena

Is Zakhmi Pyaase ko Is tarah pila dena
Paani se Bhara Sheesha patthar pe gira dena

In Patto ne garmi bhar Saaye mein Hume rakha
Ab toot ke girte hain Behtar hai jala dena

Chote kad-o-kaamat pe Mumkin hai Hanse Jungle
ek pair bahut lamba hai us ko gira dena

Mumkin hai ki Is tarah wehshat mein kami aaye
Khaabeeda parindon par ek Goli Chala dena

Ab Doosron ki Khushiyaan Chubhne lagi Aankhon mein

Monday, July 6, 2009

wo nahi hai to uski aas rahe ek jaaye to ek paas rahe

wo nahi hai to uski aas rahe
ek jaaye to ek paas rahe

jab bhi kasne laga utaar diya
is badan pe kai libaas rahe

ek din main agar lahoo pi loon
kai dino bartano me baas rahe

dono ek doosre ka munh dekhain
aaina aaine ke paas rahe

aaj hum sab ke saath khoob hanse
aur phir der tak udaas rahe

Sunday, July 5, 2009

Bashir badr sher o shayari collection

waqt e rukhsat kahi tare kahi jugunu aaye
haar pehnane mujhe phool se baazu aaye

bas gayi hai mere ahsaas mein ye kaisi mahak
koi khushboo main lagaaun teri khushboo aaye

mainne din raat khuda se ye dua maangi thi
koi aahat na ho dar pe mere aur tu aaye

us ki baaten ke gul o lala pe shabnam barse
sab ko apnaane ka us shokh ko jaadu aaye

in dino aap ka aalam bhi ajab aalam hai
sokh khaya hua

Saturday, July 4, 2009

Inspirational shayaris Bashir Badr ye chaandni bhi jin ko choote huye darti hai

ye chaandni bhi jin ko choote huye darti hai
duniya unhi phoolon ko pairon se masalti hai

shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai
jis daal pe baithe ho woh toot bhi sakti hai

labon mein chingaari jaise koi rakh jaaye
youn yaad teri shab bhar seene mein sulagti hai

Aa jata hai khud khinch kar dil seene se patri par
jab raat ki sarhad se ek rail guzarti hai

Aansoo kabhi palkon par der

Wednesday, July 1, 2009

Khushboo ki Tarah Aaya wo tez Hawaaon mein Bashir Badr

Khushboo ki Tarah Aaya wo tez Hawaaon mein
Manga tha jise hum ne Din Raat Duaaon mein

Tum Chat pe nahi aaye Main Ghar se nahi Nikla
Ye Chaand bahut bhatka hai Saawan ki Ghataon mein

Is shehar mein ek Larki Bilkul hai Ghazal Jaisi
Bijli si Ghataaon mein Khushboo si Hawaaon mein

Mausam ka Ishara hai Khush Rehne do Bachhon ko
Maasoom Mohabbat hai Phoolon ki Khataon mein

Hum Chaand Sitaro ki