Sunday, December 28, 2008

ik Shair(28)

Cheez kia hai shoq-e-safer na poochye

Qurbat Aapki Rafaqat Aapki

Adhi soi , jagi ankhien

Adhi soi , jagi ankhien
khawab se hai8n bojhal ankhien

ager raat gehri hai to kia
raat se gehri veeran ankhien

apnay hum moun se kuch na bolien gay
bayan kerien gi maira haal ankhien

Aisay ! kaisay ? dekh rahien hain
apnoon ki yeah ajnabi ankhien

hum ko ab tuk yaad hai teri
waqat-e-rukhsat wo barhum ankhien

kon poochta hai ab hamara haal
kon dekhay yeah num ankhien

khulay dareechay ab bhi dekhien
kaisy hain yeah pagal ankhien

tere intazar main dekh jana
band hoi tere "RAAZ" ki ankhien

Neelay libas main

neelay libas main janne wo kia lag rahi thi
Chand ne kaha apsara lag rahi thi

badal ne kaha ghata lag rahi thi
Dhanak ne kaha qos-e-qaza lag rahi thi

Sitaroon ne kaha roshni lag rahi thi
pholoon ne kaha kali lag rahi thi

Falak ne kaha Asman lag rahi thi
raat ne kaha kehkashan lag rahi thi

sagir ne kaha bhanwar lag rahi thi
suraj ne kaha saher lag rahi thi

shabnam ne kaha ghulab lag rahi thi
chandni ne kaha mahtab lag rahi thi

hawa ne kaha ehsas lag rahi thi
sham ne kaha khush libas lag rahi thi

subha ne kaha bad-e-saba lag rahi thi
neelay libas main janne wo kia lag rahi thi....

tasawar hi tasawar main jab sochta hoon
main jaa ke wahan puhanchta hoon

hathoon pe hina bhi sajaye hoi hai
lagta hai koi pari ayi hoi hai

wo sitaroon main mahtab lag rahi hai
pholoon main jaisay ghulab lag rahi hai

wo sab se juda aur haseen lag rahi hai
khayaloon main mairay mah-jabeen lag rahi hai

janne kab tasawar ke angan se lout ata hoon
Aur neend ki wadi main puhanch jata hoon

ik Shair(21)

duniya main "Qateel" us sa munafiq nahi koi
Jo zulim to sehta hai baghawat nahi kerta

ik Shair(20)

Aaj se pehlay koi cheez nahi mangi us ne "Raaz"
Aaj mangi to umer bhar ki judai mang li

Durd ka mousam bhala tanha ghuzarien kab tulk

Durd ka mousam bhala tanha ghuzarien kab tulk
Aa chukay hotay abhi tuk , hum pukarien kab tulk

Kab tuk put jharoon ke patoon per ghuman apna rahay
lout ker aien gi wo roothi baharien kub tulk

kab tulk tanhaye main bethay tujhe socha kerien
hijer ki uljhi hoi zulfain sanwaraien kab tulk

jannay walay sab piranday lout ker anay lagay
hijer ki be-durd ghardian hum ghuzarien kub tulk

tashnagi yoon deeda-o-dil ki nahi mitati "Raaz"
naqsh hum uske tasawar ke ubharien kub tulk

ik Shair(13)

Suna hai "Raaz" Naam ke lardkay ko
Kisi ki yaad ne ghumshuda ker diya

Saturday, December 27, 2008

ik Shair(1)

Hai payar unko hum se itna to yakeen hai hyumien
Wo inkar bhi kertay hain to ankhien sath nahien detien

Urdu Shayari - Urdu Gajal -Love Shayari

Urdu Shayari - Urdu Gajal -Love Shayari


Ullfat ka ye nasa hai peene me kya kharabi
Kayam wafa hai dil me milti hai kamyabi

Bedaag jidagi ka mujhko sila mila hai
Karta hoon dil se batein kuch bhi nahi kitabi

Tanha jiye bahut din manjil pe aa gaya hoon
Neendon mein har ghadi ab sapne to hain gulabi

Ab door rahna mujhko hargis nahi gawara
Kismat milaye jisse milne me kya kharabi

Aazad zindagi ka rutba bahut bada hai
Dunya kahe bhale hi kahti rahe sharabi.

Urdu Shayari - Dard - E - Dil Shayari

Urdu Shayari - Dard - E - Dil Shayari



Zakhm dil ka kise dikhyen hum
Dosti kiski aajmayen hum

Zabt karne ki dal len aadat
Ghar ki deewar kya uthayen hum

Maslahat ka yahi takaja hai
Jo wo kahte hain maan jaayen hum

Berukhi humse ho nahi saktee
Bhool jayen teri khatayen hum

lab pe rakhkar hansi dikhawe ki
Dard-e-dil kab talak chupayen hum

Tod dete hain ghar ke log ise
Khwab palkon pe kya sajayen hum.

Thursday, December 25, 2008

New Year Shayari - SMS....

Wo Roya To Bahot ,Per Mujhse Muh Mod K Roya
Koi Majburi Hogi Jo Dil Tod K Roya
Mere Samney Kiye Meri Tasvir K Tukdey
Pata Chala Meri Pechey Wo Unhe Jod K Roya



Sunehri Dhoop Barsaat ke baad*
Thori si Hansi her Baat ke baad*
usi tarag ho Mubarik aap ko 2009, 2008 ke baad
Wish u a Happy new year



Wishing You Happy New Year,
May You always keep in ur Heart the
Special Beauty and Cheer of
Happy New Year



Old Year Sab se ho raha hai Door*
Kya karein yahi hai Kudrat ka Dastoor*
Purani Yaadein soch kar Udaas na ho Tum*
Naya Saal aaya hai chalo..
DHOOM MACHALE, DHOOM MACHALE DHOOM!!



Aap Jahan jaye wahan se kare Fly all Tear*
Sab Log Aap ko hi mane apna Dear*
Aap ki har Raah ho Always Clear...
Aur Khuda dey Aap ko Ek Jakkas New Year!!



Ascii New Year Sms
–:-)H
—:-)A
—-:-)P
—–:-)P
——:-)Y
——-:-)NEW
——–:-)YEAR
2
0
0
9
”DEKHI MERI YAARI. .
7 DIN PEHLE BAAZI MARI”:-
HAPPY NEW YEAR.



Before the golden sun sets,
2008"s calender is destroyed,
And mobile networks get jammed,
I wish in 2009 every moment is enjoyed



New rules of life for 2009
1. Haste Rehne ka.
2. Tension nai leneka.
3. B positive, eat positive, sleep positive
4. Mast rehneka.
5. Har problem ko solve kernay ka.
6. Friend k sath lifetime friendship account kholnay ka
7. Mujhko yaad rakhnay ka
Aur mujhey sms kertay rehnay ka.


There have been many time in 2008
when I may disturbed you
troubled u
irritated u
bugged u
.
.
.
.
today I just wanna tell you
.
.
.
.
I plan to continue it in 2009.



KHUSHI KA HAR PAL HO TUMHARE LIYE
BAHARON KA GULISTA HO TUMHARE LIYE,
KAAMYABI KI MANZIL HO TUMHARE LIYE ,
BAS EK PAL HO TUMHARA HUMARE LIYE.

JINDAGI MAI KUCH NA MILA TO KYA GAM HAI,
TUMHARI DOSTI MILI YE KYA KAM HAI,
TUMHARE DIL MAI EK CHHOTI SI JAGAH JO PAALU,
WO KYA KISI ''TAAJ MAHAL'' SE KAM HAI.

KASH KHUSHIYON KI KOI DUKAN HOTI,
AUR HUME BHI USKI PAHCHAN HOTI,
KHUSHIYON SE BHAR DETE APKA DAMAN,
BHALE HI USKI KEEMAT HAMARI JAAN HOTI

"HAPPY NEW YEAR TO U ALL "



You know God arrange for you..
12 Months of Love,
52 Weeks Non Stop Fun,
& 365 days of Happiness.
So when you Mixed them all..
You will found a Very Happy Year! & I think it's 2009 My Dear



Oh my Dear, Forget ur Fear,
Let all ur Dreams be Clear,
Never put Tear, Please Hear,
I want to tell one thing in ur Ear
Wishing u a very Happy “NEW YEAR”!



yado ki dhoop jali,tamnnao ke sawan ke bad
phir vo chand dikha,rat dhal jane ke bad
main to sapno pe sapne sajata raha mager
naya saal aagya unke pallu jhatkarne ke bad
Din Guzar gaya hai Intezaar Mai*
Raat Guzar gayi Intezaar mai*
Naya Saal Mubark ho Aap ko*
2008 beet gaya Aap ke SMS k intezar mai


Ye such hai ki hum jahan chor jainge,
Magar apna rang yahan chor jainge.
nami ke cahton ke vafaon ke pyar ke,
Patther dil pe narm nisa chore jainge.


Memorable moment r celebrate together,
U r my best friend for now & forever,
Make me Miss U even more this New Year,
Hope this 2009 bring Happiness for you Dear



gul ne gulshan se gulfaam bheja hai, sitaro ne aasma se salam bheja hai,
mubarak ho apko naya saal, hum ne advance me ye piagam bheja hai. Happy New Year



HAPPY

NEW

YEAR
2@@9

My All Sweet friends
From
Your
Sweetest Friend

Chanchal Singh "Akela"


Tuesday, December 23, 2008

बस तभी मैं जिन्दगी को जीना सिखाऊँगा

मैं दो कदम चलता और एक पल को रूकता मगर,
इस एक पल में जिन्दगी मुझसे 4 कदम आगे chali जाती,
मैं फिर दो कदम चलता और एक पल को रूकता मगर,
जिन्दगी मुझसे फिर ४ कदम आगे chali जाती,
जिन्दगी को jeet ta देख मैं muskurata और जिन्दगी मेरी mushkurahat पर hainran होती,
ये silsila yuhi चलता रहा ,
फिर एक दिन मुझको hasta देख एक sitare ने पुछा "तुम harkar भी muskurate हो
,क्या तुम्हे दुःख नहीं होता haar का?"तब मैंने कहा ,
मुझे पता है एक ऐसी sarhad aayegi jaha से जिन्दगी ४ तो क्या एक कदम भी आगे नहीं जा payegi
और तब जिन्दगी मेरा intzaar karegi
और मैं तब भी अपनी raftar से yuhi चलता रुकता
wahan pahunchunga .........एक पल ruk कर जिन्दगी की taraf देख कर muskuraoonga,
beete safar को एक नज़र देख अपने कदम फिर badhaoonga ,
ठीक usi पल मैं जिन्दगी से jeet jaunga,मैं अपनी haar पर muskuraya था
और अपनी jeet पर भी muskuraunga और जिन्दगी अपनी jeet पर भी न मुस्कुरा पाई थी
और अपनी haar पर भी न मुस्कुरा पायेगी ,
बस तभी मैं जिन्दगी को जीना सिखाऊँगा
!!!!

Mohabbat Bhi Bahut Thi....


Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
Majaboor the ham us se muhabbat bhi bahut thi....

Us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
Go apnii tabiyat mein bagaavat bhii bahut thii....

Vaaqif hi na tha ramz-e-muhabbat se vo varna
Dil ke liye thorii sii inaayat bhii bahut thii....

Youn hi nahiin mashhoor-e-zamanaa mera qatil
Us shaKhs ko is fan mein maharat bhi bahut thii....

Kya daur-e-Gazal tha ke lahu dil mein bahut tha
Aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii....

Har shaam sunaate the hasiinon ko Gazal ham
Jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii....

Bulava ke ham "Akela" ko pasheman bhi bahut hain
Kya kijiye kam_baKht kii shoharat bhii bahut thii..



Reh-reh karr apki yaad aye to kya karen?
apki yaad dil se na jaye to kya karen??
socha tha ke khwaabon mein humari mulakaat hogi,
ab neend he na aye to kya karen??...................

Monday, December 22, 2008

Dr. Zeenat Sajida - RIP

Dr. Zeenar Sajida, who was a well know Urdu scholar from Hyderabad, India, died on December 4th, 2008.

May her soul rest in piece.

Click here for the obits:


Technorati tags applicable to this post: - - - -

Friday, December 19, 2008

Christmas Hindi SMS,Quotes


*IN Hindi........


  1. Aaj se theek 5 din baad Christmas Day.. Aaj se theek 11 din baad New Year.. Bolo tumhe kya wish karun? Chalo DONO aik saath kar deta hoon. But! I think I must be first one who wished you like this. **Happy Christmas Day.... ....Happy New Year******

  2. Chritmas ka yeh pyara tyohaar jeevan mein laye khushiyan apaar, santa clause aaye aapke dwar, subhkamna hamari kare sweekar. Merry Christmas.
  3. Christmas sms in bengali Devdoot banke koi aayega Saari tammanaye tumhari poori kar jayega Christmas k iss khush din pe Dher sare tohfe aur khushiyan de jayega.. Christmas mubarak !
  4. Chritmas ka yeh pyara tyohaar jeevan mein laye khushiyan apaar, santa clause aaye aapke dwar, subhkamna hamari kare sweekar. Merry Christmas.

    *In English****


  5. From Home to home, and heart to heart, from one place to another. The warmth and joy of Christmas, brings us closer to each other.
  6. To your enemy, forgiveness. To an opponent, tolerance. To a friend, your heart. To a customer, service. To all, charity. To every child, a good example. To yourself, respect."

  7. At Christmas play and make good cheer, For Christmas comes but once a year

  8. For thy lord your God had made it possible for u to see the month of December! So shall all impossibility in your will be possible! Wishing u merry x-mas!!


  9. In this X-mas, In the daytime if sun shine so shall Ur expectations come true, At night when moon comes out so shall U receive blesses, then if rain fall so shall it going to carry all your problem away from U! Happy Merry Christmas

  10. I wish U Lovely X-mas I wish U Favorable ” I wish U Enjoyable ” U shall not Lack in this X-mas thy Lord shall provide to U! Merry X-Mas.
  11. I hope you have a wonderful christmas have a great new year ! Hopefully santa will be extra good to you . enjoy your holidays!
  12. A lovely thing about Christmas is that it’s compulsory, like a thunderstorm, and we all go through it together.
  13. Christmas gift suggestions: To your enemy, forgiveness. To an opponent, tolerance. To a friend, your heart. To a customer, service. To all, charity. To every child, a good example. To yourself, respect.
  14. Have an ideal Christmas; an occasion that is celebrated as a reflection of your values, desires, affections, traditions.
  15. If one night a big fat man jumps in at your window, grabs you and puts you in a sack don’t worry I told Santa I wanted you for CHRISTMAS. HAPPY CHRISTMAS
  16. ()”"”() ,* ( ‘o’ ) ,*** =(,,)=(”‘)<-*** (”"),,,(”") “** Roses 4 u… MERRY CHRISTMAS to U…
  17. Christmas may be many things or it may be a few. For you, the joy is each new toy; for me; it’s watching U.

  18. r you. Me Christmas is... about church bells, Christmas trees, carols, twinkling lights and joy filled days, too. Christmas is... about hoping and wishing for life's very best forry Christmas! Happy New Year
  19. I wish U Lovely X-mas I wish U Favorable " I wish U Enjoyable " U shall not Lack in this X-mas thy Lord shall provide to U! Merry X-Mas.

  20. In this X-mas, In the daytime if sun shin so shall Ur espectation come true,
    At night when moon comes out so shall U recieve blesses, then if rain fall so shall it going to carry all ur problem away from U!
    Happy X-Mas!


  21. May all the sweet magic Of Christmas conspire To gladden your hearts And fill every desire.
  22. Christmas may be many things or it may be a few. For you, the joy is each new toy; for me; it’s watching U.
  23. Joy resounds in the hearts of those who believe in the miracle of Christmas! Wishing you all the peace, joy, and love of the season! Season’s Greetings!

  24. Bless us Lord, this Christmas, with quietness of mind; Teach us to be patient and always to be kind.
  25. Lets welcome the year which is fresh Lets welcome the year which is fresh and new, Lets cherish each moment it beholds, Lets celebrate this blissful New year. Merry X-mas

  26. Bells are ringing the wishes of christmas day the flying snowflakes send my most sincere blessings to you merry christmas.


    MERRY
    CHRISTMAS DEAR .........
    Thanks & Regards
    Chanchal Singh "Akela"




    @@@@@@#######$$$$$$$$%%%%%%%%^^^^^^^^@@@@@@

Sunday, December 7, 2008

Bakrid Sms - Eid ms - Eid Messages - Bakra Id Mubarak - bakrid greetings

Bakrid Sms - Eid ms - Eid Messages - Bakra Id Mubarak

Sabse pehle app sabhi ko Shahid ki taraf se Eid-e-kurban mubarak Ho.

Bakrid SMS#1
Ae Mere SMS Mere Dost k Pass jana
Wo Busy ho to Shor mat machana
Jab Wo Free ho jaye to Dheere se Muskrunaa
Aur Pyar se kehna k, Eid Mubarak Qubool Ho

Bakrid SMS#2
Kuch Musarrat Mazeed ho jaye
Is bahane se Eid ho jaye
Eid milne jo Aap aajayein
Meri bhi Eid, Eid ho jaye

Eid SMS#3
Gulshan ko kar rahi Mo'attar Hawa-e-Eid
Aata nahi kuch Nazar kuch b Siwaye Eid
Meri Taraf se Eid Mubarak ho Aap ko
Bus Mere pass hai Yehi Tohfaa Bara-e-Eid

Eid SMS#4
I wish you ALL a very happy and peaceful Eid.
May Allah accept your good deeds,
forgive your transgressions and ease the suffering of all peoples
around the globe.Eid Mubarik

Eid SMS#5
id leka aate hai dher sare khusiya,
Eid mita deta hai insan mai duriya,
Eid hai khuda ka ek nayam tabarok
Eisi liye kahte hai sab EID MUBARAK.

Eid SMS#6
When my arms can’t reach people close to my heart.
I always hug them with my prayers.
May allah’s peace be with you.
A very happy eid mubarak 2 U.

Eid SMS#7
Jub kabi bin mange app per khushion ki bersaat ho, jub kabi app ka dil anjaani khushi se betaab ho, to samaj lena koi aap ko duaon main yaad ker raha hai. Happy Eid Day

Eid SMS#8
May Allah this occasion flood your life with happiness,ur heart with love,ur soul with spirtual, ur mind with wisdom,wishing u a very Happy Bakrid Mubarik

Urdu Shayari - Eid Shayari -Bakra Eid Shayari

Urdu Shayari - Eid Shayari -Bakra Eid Shayari



Isse pehle ki Eid ki sham ho jaye
Mubarakbad ka silsila aam ho jaye
Bheed mein shamil hamara bhi naam ho jaye
Kyon na Eid ka abhi milaap karle
Konki kal ho naho.

Urdu Shayari - Eid Shayari - Bakra Eid Shayari

Urdu Shayari - Eid Shayari - Bakra Eid Shayari



Khusi ka taqaza aagaj de raha hai
Wo eid ka chand awaz de raha hai
Mubarak ho aap ko eid ki khushian
Hum aapko mubarakbad de rahe hai.

Ibadat se dil ko abad karna
Aur gunahoun ko dil se azad karna
Hamari bas itni si guzarish hai ki hamein
bhi dua mein yaad karna.

Urdu Shayari - Urdu Gazal

Urdu Shayari - Urdu Gazal



Jo samajte hi nahi waqt ki kimat kya hai
Unko ehsas dilane ki jaroot kya hai

Tum hi batlawo sare raah ye chalte chalte
nazo andaaz dikhane ki ye aadat kya hai

Bech kar aapni ana puch rahe ho hamse
Sharm kya hai ye haya kya hai nadamat kya hai

Bhai bhai ka yahan ho gaya dushman kaise
koi batlaye to aakhir ye siyasat kya hai

Bakhuda koi nahi puchne wala dil se
Uske hathon me ye paigame masarrat kya hai.

Urdu Gazal - Urdu Shayari

Urdu Gazal - Urdu Shayari



Kya sama tha bahar se pehle
Gam kahan tha bahar se pehle

Ab tamasha hai char tinko ka
Aashiyan tha bahar se pehle

Ae mere dil ke dag tu hi bata
Tu kahan tha bahar se pehle

Pichli shab me khizan ka sannata
Hamzaban tha bahar se pahle

Chandani me yeh aag ka dariya
Kab ravan tha bahar se pehle

Lut gaee dil ki zindagi 'shoeb'
Dil javan tha bahar se pehle.

Urdu Shayari - Urdu mazahiya gazal

Urdu Shayari - Urdu mazahiya gazal



Justju khoye huwon ki umar bhar karte rahe
Chand ke hamrah ham har shab shafar karte rahe

Raston ka ilm tha hamko na samton ki khabar
Shahere na maloom ki chahat magar karte rahe

Hamne khud se bhi chupaya aur sare shaher ko
Tere jane ki khabar deewaron dar karte rahe

Woh na aaega hame maloom tha us sham bhi
Intejaar uska magar kuch soch kar karte rahe

Aaj aaya hai hame bhi un udaano ka khyal
Jinko tere jom me be baalo par karte rahe.

Friday, December 5, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sad Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sad Shayari


Unho ne haale dil batana chor diyaa,
Hamne bhi gehriyon me jana chor diya,
Jab unhe hi ehsaas nahi hamari mohabbat ka,
To hamne bhi ehsaas dilana chor diya.

Mohabbat ke safar me har kissi ko manzil nahi milti,
Dikhti hai jo door se har woh khushi nahi milti,
kar jate hain jaan nisaar is mauke pe aashique apni,
Jin Aashiq ko gamon ki beed me janhe khusi nahi milti.

Urdu Shayari - Tanhai Bhare Shayari

Urdu Shayari - Tanhai Bhare Shayari



Zindagi zhakmo se bhari thi,
waqt ko marham bana liya..

aankhon mein ashq bhare the,
hawaon ko aanchal humne bana liya..

apne bhi jab ajnabee bane,
tanhaaiyon ko dost bana liya..

jab nahi thi roshni mere aangan mein,
tab ratao ko ghar bana liya..

ek din haarna to hai hi maut ke haatho,
issliye filhaal har gam mein muskuraa ke,
dard ko haraana seekh liya..

Urdu Shayari - Dar - E -Tanhai

Urdu Shayari - Dar - E -Tanhai



(1)Aapki berukhi kko bhi rutba diya hamne ,
Pyar ka har farz ada kiya hamne,
Mat socho ke bhula diya aapko,
Aaj fir aapko yaad kiya hamne.

(2)Mil jaye koi naya to hame na bhula dena,
Koi rula de tumhe to hame yaad kar lena,
Khusi na sahi gam hi baant lena.

Urdu SMS - Urdu Frienship Sms

Urdu SMS - Urdu Frienship Sms




(1)Aapki dosti khona nahi chahte,
Itna khush ho kar ab rona nahi chahte,
Ye aalam hai hamara apki yaad me,
Ki aankh me neend hai magar ab sona nahi chahte.

(2)Dosti ke mayene hamse kya puchte ho,
Hum abhi in baton se anjan hai,
Sirf ek gujarish hai ke bhool na jana hame ,
Kyon ki aapki dosti hi hamari jaan hai.

Thursday, December 4, 2008

Urdu SMS - Urdu Sad SMS

Urdu SMS - Urdu Sad SMS



(1)Tamam umar zindagi se door rahe,
Teri khusi ke liye apni khusi se door rahe,
Ab isse badkar wafa ki saza kya hogi
Ke tere ho kar bhi tujh se door rahe.

(2)Khamosh palko se behkar jab aansoo aate hai,
Tum kya jano kitna mujhe tum yaad aate ho,
Aaj bhi us mod par khade hain jahan kaha tha,
Thehro hum abhi aate hain.

Urdu SMS - Urdu Friendship SMS

Urdu SMS - Urdu Friendship SMS


(1)Dil dil se juda nahi hote,
Yuhi kisi par fida nahi hote,
Pyar se bada to dosti ka rishta hai,
Kyo ki dost kabhi bewafa nahi hote.

(2)Kitni parwah karte hai ham aapki,
Kash aapko ye ehsas ho jae,
Kahi aysa na ho aap tab hoshme aaen,
Jab ham hamesha ke liye khamosh ho jaen.

Urdu Shayari - Urdu Sad Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sad Shayari




(1)Waqt ki aanch me pathar bhi pighal jate hai,
Khakhe toot ke ashkoo me badal jate hai,
Kaun kisko yaad rakhta hai umar bhar,
waqt ke saat khayalat bhi badal jate hai.

(2)Dil todh na hamari aadat nahi,
Dil ham kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakh na hamari aashiqui pe,
Ishq kar ke ham kisi ko rulate nahi.

Urdu SMS - Urdu Friendship SMS - Dostata SMS

Urdu SMS - Urdu Friendship SMS - Dostata SMS





(1)Sapne toot jate hai apne ruth jate hai,
Zindagi me aksar aise mod ate hai,
Magar jab sath ho tum jaise dost to,
raho ke kante bhi phool ban jate hai.

(2)Bhule se bhi na kisi ko rulana zindagi me sabko hasana,
Dushman ko bhi gale se lagana,
Phir bhi koi gam ho to,
Mere mobile par phone lagana.

Urdu Shayari - Darde Dil Shayari - Nafrate Shayari

Urdu Shayari - Darde Dil Shayari - Nafrate Shayari





(1)Dil todh diya mera ab chita bhi jala dena,
Kafan na mile to apna rumal udha dena,
Koi puche ke rog kya tha to najre jhuka kar,
Mohabbat bata dena.

(2)Nafrat buri lagi na adavat buri lagi,
Hamko bas dikhaweki chahat buri lagi,
Jab hosh me na the to nasihat buri lagi,
Lekin hui daga to mohabbat buri lagi.

Urdu Shayari - Romantic Urdu Shayari

Urdu Shayari - Romantic Urdu Shayari





(1)Wop pani ki boond hai jo ankhon se beh jaye,
Ansu to wo he jo tadap ke ankhon me hi reh jaye,
Wo pyar kya jo laffzon me bayan ho,
Pyar to wo he jo ankhon me nazar aaye.

(2)Ishq muhabbat to hazaro karte hai,
Gum aur judai se sabhi darte hai,
Hum to na ishq karte hai na muhabbat,
Bas apno ki ek muskan ko marte hai.

Urdu Shayari - Urdu Sad Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sad Shayari






(1)Bikhere ansu ke moti hum pe na sake,
Apki yaad mein sari raat so na sake,
Beh na jaye tasveer apki
Bas yahi soch kar hum ro na sake.

(2)Rehna paooge kabhi bhola ke dekhlo,
Yakin na ho to aazma ke dekhlo,
Har jaga mehsoos hogi kami hamari,
Apni mehfil ko saja ke dekho.

Wednesday, December 3, 2008

Yahaan Hamaaree Kya Zaroorath Hai?

There's a line in one of the greatest "Bollywood" classics, written by the scions of a couple of the greatest South Asian literary families--sons of Urdu poets, to be precise--and delivered by a minor but unforgettable character, "Surma Bhopali" that goes "Yahaan hamaaree kya zaroorath hai; yahaan tho waisay hee aap kay naam ka warrant nikla huwa hai." [Who needs me? There's already a warrant out for your arrest.]

And that's the thought that's being going through my head as South Asia spirals downwards, some folks caution against jumping to conclusions, and others rally for peace. And I include the arguments over "Islamists did it. No, wait! Let's not jump to conclusions; it could be home grown!..." in that

How is it realistic to look at everything as either-or? The mess South Asia is in--not to mention the rest of the world--there's enough blame to go around. Neo-purist fanatics (our Islamist/Jihadists; their Sanghis; our--speaking from North America--Christian and Jewish fanatics); civilizing imperialists; ethnic militants (Sena, MQM, racists of white and other hue); everybody's jingoistic nationalists; everybody's military-industrial-intelligence complexes...all feed off each other. In some cases, they work with each other. Just for example, Is it too much of a stretch to believe that what is happening in Karachi (in case either of you missed it) is being helped along by Indian Intelligence (and who knows who else) as a counterpoint to what they see as Pakistani Intelligence "doing Mumbai"? From where I sit, what's happening in the NW of Pakistan also has elements of a turf battle.

And as we all participate in this circular firing squad--including the agonizing over Muslims being targeted or profiled--the folks I list above make leaps and bounds in the struggle for the hearts and minds of their respective target constituencies...

And PS: how many noticed there were riots in the prettiest town in Africa's largest nation, too? Rally anyone?


Cross-posted on the iFaqeer, Wadiblog, ProgressiveIslam.org, Pak Tea House, Urdu ke Naam, Doodpatti, by Tohfay, blogs.
Technorati tags applicable to this post: - - - - - -

Tuesday, December 2, 2008

یہ ایک بہت ہی ومدہ ویب سایٹ ھیے جس پر اردو ادب کی بہت سی کہانیاں اور رسالہ جات موجود ہیں اس کہ علاوہ ٓاپ اس ویب پر درخواست کر کے بھی کہانیاں شایع کراسکتے ھیں۔
لنک نیچے موجود ھے۔ اس کو ضرور وزٹ کریں۔

Urdu Rasala

agar kuch naam dena ho .

Agar kuch naam daina ho
Mujhe insan mat kehna
Juda chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hain
Magar insaniyat ke ab yahan per daam hotay hain
Mairy tum daam matt daina
Mujhay yeah naam mat daina

Agar kuch naam daina ho
Mujhay Ehsas keh daina
Magar Thehroooo!
Mujhay Ehsas mat kehna
Maira bus naam reh jaye
Mujhay aisay nahin rehna
Mujhay Ehsas mat kehna

Agar kuch naam daina ho
Mujhay Saawan hi keh daina
Magar thehroooo!
Mujhay Saawan nahin kehna
Barasta hai magar
Rut ke badaltay, beet jata hai
Mujhay Saawan nahin kehna
Agar kuchh naam daina ho

Mujhay Aansoo hi keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh main
Rukhsar per merna
Yahi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansoo hi keh dainaa
Magar daikho!
kisi ki aankh main mujh ko kabhi

Aanay nahin daina
K qeemat aansoon ki ab adaa tum se nahin ho gee
Nahin tum yun nahin kehnaa
Mujhay aansoo nahin kehnaa
Mujhay aankhon main bastaa ik haseen sapna hi keh daina
Haqeeqat kuchh nahin jis ki
Chalo sapnaa hi keh daina

Ke sapnay aankh main taaron ki tarhaa jhilmilaatay hain
Magar thehrooooo!
Mujhay sapnaa nahin kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hain
Mujhay Apna Nahin Kehna
Ke Apnay Rooth jaatay hain

Dosti...

Woh Mujh Se Aksar Pochta Tha
Ke
Tumhain Agar "DOSTI" Ya Muhabbat
Main Se intikhab Karna Para
To Kisay Karo Gi?

Aur Main Hans Ker Keh Deti Thi
Dono Sorton Main Mera
Intikhab Sirf Tum Ho Gaye
Kion Ke
Tum Hi Mere Dost Ho
Aur Tum Hi Mere Mehboob

(Aur Aaj Taqdeer Mujh Per Hansti Hai
Kion Ke
Aaj Mere Pass Dost Hai
Aur Na Mehboob)

KAHIN DIL CHORD AYE HO ?

KAHIN DIL CHORD AYE HO ?

Buhat Chup chup Se Rahtay Ho
Na Bantay Ho , Sanwertay Ho

Na Koi baat Kartay Ho
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar

Hamesha Khoye Rehtay Ho
Udaasi Ankh Main Ley Kar

Har ik Chehray Ko Taktay Ho
Koi jab Yaad Ata Hai

To Thandee Aah Bhartay Ho
To Khul Kar Kion Nahin Kehtay

Kis Se Pyaar kartay ho
Kahan Dil Choor Aye Ho ??????????

Kuch Maray Dil se

Kaha tha na.......

is tarha sotay howe chorde ke mut jana
mujhe beshak jaga dena,
bata dena

ke tumhain rasta badlna hai,
mairy hud say nikalna hai,


Tumhain kiss baat ka durr tha ??????????
kia main janay nahin daita?
kahin pay qaid kar laita??????

aray pagal mohabbat ki tabiat main zabardasti nahin hoti
jissay rasta badlna hai ussay rasta badlanay say
jissay hud say nikalna ho ussay hud say nikalnay say

na koi rok paya hai na koi rok payega

tumhain kiss baat ka durr thaaa???????

mujhe jaga daitay


bus yeah yaad rakhna ae hum dum
ab in jagti ankhon mai
khuwab tumharay he bastay hain
in ankhon ke ansoonoon main
tumhary yaadoon ke deep
ban ke mom chalaktay hain


bus yaad yeah rakhna ae mairay hum dum
in ankoon ki roshni kay bujhnay tak
main intezar ke deep jalaonga
mairay ghar ke rastay pay
tairy qadmoon ki ahat ko sun ke he jaonga

apni sansoon ke thumnay tuk
apnay jism ke marnay tuk
tujhe dil main basoonga

bus taira kahlaooonga

ke sansoon ke thamnay ki wajha bhi sirf yahi ho gi

"is dunia main na sahi , agli dunia main to mairy ho gii"

"MOHABBAT chor di HUM ne".

Abhi jab lout kar phir TUM hamaray dur pe aye ho,


Ye TUM se keh diya kis ne,

k TUM bin reh nahi sakte,

k ye dukh seh nahi sakte,

Chalo ye maan laitey hein,

k TUM bin HUM bohat roye,

kai ratoon ko na soye,

Magar ek baat hai JANA,

K TUM nakaam louto ge,

Ager TUM janna chaho,

k aisa kion kiya HUM ne,

To sun lo ghour se JANA,

Purani ik riwayat torde di HUM ne,


"MOHABBAT chor di HUM ne"


"MOHABBAT chor di HUM ne".

Suno!

Suno!
Main thak gaya hoon
Mery Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
mery neendoon main tere wasal ka resham ulajhta hai
meray ansoo meray chehre pe teray gham ko likhtay hain
Meray ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Meray alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Magar main thakk gaya hoon
Aur main ne khamoshi ki goad main sir rakh dia hai

Main baloon main
Tumharay hijer ki naram ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendain nahin bunta
Mery aankhoon main jaisay THAR kay mausam ka basera hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay day